Lehad Mai IShq e Rukh e Shah Ka Daag le k Chale | Muhammad owais Raza Qadri | 2017

 

 

Lahad mein ishq e rukh e shah kaa daagh ley key chale
Andheri raat suni thi charaagh ley key chale

Tere gulaamon ka naqsh e qadam hay raah e Khuda
Woh kya behek sakey jo yeh suraagh ley key chale

Jinaan banegi muhibbaan e chaar yaar ki qabr
Jo apne seene mein ye chaar baagh le key chale

Gaye, ziyaarat e dar ki, sad aah waapas aaye
Nazar key ashk piche dil ka daagh le key chale

Madeene jaan e jinaan o jahaan hay wo sun lein
Jinhein junoon e jinaan sooye zaagh le key chale

Tere sahaaab e sukhan sey na nam key nam sey bhi kam
Baleegh behr e balaaghat balaagh le key chale

Huzoor e Taibah sey bhi koi kaam barh kar hay
Key jhoote heele makr o faraagh le key chale

Tumhare wasf e jamaal o kamaal mein jibraeel
Muhaal hay key majaal o masaagh le key chale

Gilah nahin hay mureed rasheed e shaitaan sey
Keh us key wusa’at e ilmi ka laagh le key chale

Har eik apne bare ki barayi karta hay
Har eik mugbachah mugh ka ayaagh le key chale

Magar Khuda pe jo dhabba darogh ka thopa
Ye kis la’een ki ghulaami ka daagh le key chale

Wuqoo’ e kizb key ma’ni durust aur qudoos
Hiye ki phoote ‘ajab sabz baagh le key chale

Jahaan mein koi bhi kaafir saa kaafir aisaa hay
Ke apne Rab pe safaahat ka daagh le key chale

Pari hay andhe ko ‘aadat keh shorbe hi sey khaaye
Bater haath nah aayi to zaagh le key chale

Khabees behr e khabeesah khabeesah behr e khabees
Ke saath jins ko baazo o kulaagh le key chale

Jo deen kawwon ko de baitthe un ko yaksaan hay
Kulaagh le key chale yaa ulaagh le key chale

Raza kisi sag e Taibah key paaon bhi choome
Tum aur aah keh itnaa dimaagh le key chale

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *