Shabe Ashoor Ki Maaein | HASHIM SISTERS 2017/18 NOHA | MUHARRAM

De Rahin Thi Yeh Shab E Ashoor Ki Maaein Sada,

Hum Tujhe Aabad Kar Jaaengay Dasht E Karbala x2

Har Khushi Apni Karengay Teri Khushiyon

Par Fida Hum Tujhe Aabad Kar Jaaengay Dasht E Karbala x2

1) Gham Na Kar Bar Aaeygi, Kal Subh Teri Aarzoo,

Hum Tujhe Khush Hokay Dengay,

Apnay Bachon Ka Lahoo, Harsh Tak Shadaab

Rehnay Ki Tujhe Dengay Duaa Chorus

2) Haan Magar Tujhse Musalsal, Itna Poochengay Zaroor,

Kya Khata Humse Hui Thi, Kya Humaara Tha Qusoor,

Kis Liey Hum Baykaso Par,

Ki Gayi Aakhir Jafa Chorus

3) Aaj Ki Shab Hum Hain Masroo-Fe Ibaadat Dekhley,

Kis Qadar Bachon Mein Hai Shauq E Shahadat Dekhley,

Saj Rahey Hain Maqsad E Sarwar

Pey Honay Ko Fidaa Chorus

4) Jaan Ki Baazi Laga,

Dengay Humaaray Naunihaal,

Kar Nahin Saktay Magar Zaalim Sey Paani

Ka Savaal, Pyaas Ko Maat Denay Ka Dilo(N) Mein Hosla Chorus

5) Sar Sey Lekar Paaon Tak, Khoon Mein Nahaengay Magar,

Zulm Kay Aagay Jhuka Saktay Nahin Hai Apnay Sar,

Sarfaroshi Ka Sabhi Ko, Dars Humney Deydiya Chorus

6) Qaasim O Aun O Mohammad, Ya Ali Asghar Ka Haath,

Haath Mein Bayyat Kay Aasakta Nahin Akbar Ka Haath,

Sheer Par Itna Tou Humko Hai Bharosa Ba Khuda Chorus

7) Teer Talvaar O Tabar, Humko Dara Saktay Nahin,

Khanjar O Shamsheer Ya Durrey Jhuka Saktay Nahin,

Faisla Humney Jo Karna Tha Voh Humney Karliya Chorus

8) Karbala Ki Maaoon Par, Qurbaan Asif Zindagi,

Ba Khuda In Maaon Mein Hashim Koi Buzdil Na Thi,

Lamha Lamha Kar Rahin Thi, Farz Yeh Kehkar Ada Chorus x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *