Farhan Ali Waris | Haey Zindan Tera Watan | 2015

 

meri mazloom behna sakina
meri masoom behna sakina
bole sajjad laasha uthakar
sakina sakina

haye zindan tera watan bangaya
khoon bhara tera kurta kafan bangaya

kya karoo qaid khana hai ye ghar nahi
ghusl dene ko panni mayassar nahi
aur kafnaoo kaise ke chadar nahi
bekasi aur ghurbat may ay ghamzada
khoon bhara tera…
haye zindan tera…

jab suroyi tamachon ki paayi saza
baliyan chin gayi aur daaman jala
aur kaano ke khoon se kurta bhara
haye tukhjo kafan bhi nahi mil saka
khoon bhara tera…
haye zindan tera…

tu andhero se darti rahi meri jaan
baap ke gham may roti rahi meri jaan
ghar chalo maa se kehti rahi meri jaan
tera armaan poora nahi ho saka
khoon bhara tera…
haye zindan tera…

aisi bichdi ke phir baap se na mili
chut ke baba se zindan ki qaidi bani
haye ye baat sajjad ko kha gayi
haye teeron se unka kafan ban gaya
khoon bhara tera…
haye zindan tera…

tujhko zindan may baba ka sar jo mila
tune baba ke moo par jo moo ko rakha
itna royi ke zindan larazne laga
rote rote hi aayi hai tujhko khaza
khoon bhara tera…
haye zindan tera…

kamsini may sitam tune kitne sahe
chaar saala yateema mai sadqe tere
baade ashoor soyi nahi chain se
chain marke bhi tujhko nahi mil saka
khoon bhara tera…
haye zindan tera…

haye farhan o mazhar ajab waqt tha
us yateema ka jis dam janaza utha
bibiyon may bapa ek kohraam tha
sabne qabre sakina pe noha kiya
khoon bhara tera…
haye zindan tera…

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *