Farhan Ali Waris | Ali Walay Jahan Bethe | Manqabat | 2015

 

Faqeeron ka bhi kya chahe jahan basti basa baithe ..(2)
ali waley jahan baithe wahi jannat bana baithe ..(2)
 
1. Faraze daar ho, maqtal ho, zindaan ho ke sehra ho ..(2)
jali ishq e ali ki shamma aur, parwaane aa baithe
 
2. Koi mausam, koi bhi waqt, koi bhi ilaaqa ho ..(2)
jahan zikr e ali chheda, wahan deewane aa baithe
 
3. Ali walon ka marna bhi koi marne me marna hai ..(2)
chale apne makaa’n se aur ali ke darr pe jaa baithe
 
4. Idhar rukhsat kiya sabne, udhar aae Ali lene ..(2)
yahan sab ro rahe the, hum wahan mehfil sajaa baithe
 
5. Abhi mai qabr me leta hi tha, ek noor sa phailaa ..(2)
meri baali pe aakar khud, Ali e murtaza baithe
 
6. Ali ke naam ki mehfil saji shehre khamosha me ..(2)
the jitne bawafa wo sab ke sab, mehfil me aa baithe
 
7. Nizamat ke liye maula ne khud, meesam ko bulwaya ..(2)
wo lehja tha ke sab daaton tale, ungli dabaa baithe
 
8. Ye kaun aaya ke istaqbaal me, sab ambiya utthe ..(2)
na baithega koi tab tak, na jab tak fatema baithe
 
9. Ali walo’n ke marne ka hai bus, itna sa afsana ..(2)
ke jaise koi masjid se azakhane me jaa baithe
 
10. Ali walo’n ke naaro ne, raza aisa samaa bandha ..(2)
ke khud maula bhi apne naam ka naara laga baithe
 
Ali waley jahan baithe wahi jannat bana baithe

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *