Hussain Hussain Mola Hussain
Hussain Ya Hussain Mola Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
Jis Din Yeh Insan Baidar Ho Ga
Baiyat Sy Is Ko Inkar Ho Ga
Har Dil Kahy Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Aaqa Tumhara Aaqa Hamara
Ahl E Aza Ny Mil Ky Pukara
Arz O Sama Mein Goonja Yeh Nahra
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Jis Din Yeh Insan Baidar Ho Ga
Baiyat Sy Is Ko Inkar Ho Ga
Duniya Pukary Gi Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Mola Hamaray Aaqa Hamary
Sab Ky Hain Rehbar Sab Ky Sahary
Hain Jo Mujahid Aap Ky Saary
Deen E Khuda Ky Roshan Sitaray
Haq Ka Ujala In Hi Sy Phaila
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Aaqa Tumhara Aaqa Hamara
Ahl E Aza Ny Mil Ky Pukara
Arz O Sama Mein Goonja Yeh Nahra
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Mola E Kull Hain Arsh O Zameen Ky
Maalik Yehi Hain Khuld E Bareen Ky
Haajat Rawa Hain Ahl E Yaqeen Ky
Yeh Rehnuma Hain Duniya O Deen Ky
Duniya Mein In Sa Hadi Na Ho Ga
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Jis Din Yeh Insan Baidar Ho Ga
Baiyat Sy Is Ko Inkar Ho Ga
Duniya Pukary Gi Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Sary Nabi Bhi Jin Ky Hain Haami
Aisa Kahan Hai Zaat E Garami
Un Ky Muqabil Koofi Na Shaami
Sab Bey Nishan Hain Jitny Thy Naami
Sab Sy Hai Ooncha Naam In Hi Ka
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Aaqa Tumhara Aaqa Hamara
Ahl E Aza Ny Mil Ky Pukara
Arz O Sama Mein Goonja Yeh Nahra
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Koi Zameen Ho Koi Zamana
Koi Faza Ho Koi Fasana
Qaol O Amal Mein Sab Sy Yagaana
Aap Ka Har Har Lafz Khazana
Hai Rooh E Quran Aap Ka Lehja
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Jis Din Yeh Insan Baidar Ho Ga
Baiyat Sy Is Ko Inkar Ho Ga
Duniya Pukary Gi Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Aaj Yeh Duniya Dekho Kahan Hai
Zulm Ki Sazish Sab Py Ayaan Hai
Ahl E Wafa Par Zarb E Garaan Hai
Qafila Haq Ka Phir Bhi Rawaan Hai
Raah E Hussaini Fikr Ka Rasta
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Aaqa Tumhara Aaqa Hamara
Ahl E Aza Ny Mil Ky Pukara
Arz O Sama Mein Goonja Yeh Nahra
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Jab Paishwai Mola Karen Gy
Jazba Dilon Mein Zinda Karen Gy
Ahl E Aza Ko Yakja Karen Gy
Un Ky Aqab Mein Sajda Karen Gy
Zair E Alam Ho Ga Sab Ka Musalla
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Jis Din Yeh Insan Baidar Ho Ga
Baiyat Sy Is Ko Inkar Ho Ga
Duniya Pukary Gi Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Yeh Jo Alam Hai Sab Ka Hasham Hai
Is Ky Hi Dam Sy Seenon Mein Dam Hai
Kya Kya Ataayen Kya Kya Karam Hai
Dill Mein Haraarat Ankh Bhi Namm Hai
Jeeny Ka Ham Ny Paya Saleeqa
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Aaqa Tumhara Aaqa Hamara
Ahl E Aza Ny Mill Ky Pukara
Arz O Sama Mein Goonja Yeh Nahra
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Farsh E Aza Par Ham Ko Hai Jeena
Majlis O Matam Apna Safeena
Khali Na Ho Ga Gham Sy Yeh Seena
Aansoo Karen Gy Zikr E Sakina
Pyas Rahy Gi Zinda Hamesha
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Jis Din Yeh Insan Baidar Ho Ga
Baiyat Sy Is Ko Inkaar Ho Ga
Duniya Pukary Gi Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Yeh Jo Hilal Aaj Matam Bapa Hai
Nohay Mein Yeh Jo Shaan E Aza Hai
Is Mein Hai Aansoo Is Mein Dua Hai
Is Sy Hamari Sari Baqa Hai
Yeh Hai Hamary Mola Ka Sadqa
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Aaqa Tumhara Aaqa Hamara
Ahl E Aza Ny Mil Ky Pukara
Arz O Sama Mein Goonja Yeh Nahra
Hussain Hussain Mola Mola Hussain Mola
Hussain Hussain Hussain Hussain
Comment