Ya muhammad noor e mujassam | Muhammad Owais raza Qadri | 2019

 

Ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Noor e Mujassam ya Habibi ya Moulai
Taswir e Kamal e Muhabbat Tanwir e Jamal e Khudai

Tera wasf bayan ho kis se Teri (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kon karega bharai
Nabi ji, Teri kon karega bharai
Is gard e Safar mein gum hai Jibril e Amin ki Rasai

Teri ik nazar ke Talib Tere ik Sukhan par qurban
Yeh sab Tere diwane yeh sab tere sudai

Yeh rang e Bahar e Gulshan yeh gul aur gul ka jouban
Tere Noor e qadam ka dhoban us dhoban ki rounai

Ma ajmalaka Teri surat, ma ahsanaka teri sirat
Ma akmalaka Teri azmat teri zaat mein gum hai Khudai

Tu rayees e Roz e Shafa’at tu Amir e Luft o Inayat
Hai Adib ko tujh se nisbat yeh Ghulam hai, Tu Aqai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *