Haye Sughra Bata Kia Likhon

 maula maqtal may sar ko jhukaye

laash e akbar pe tanha khade hai

dheeme dheeme tapakte hai aansoo

haye sughra ka khat padh rahe hai

bolay kya mai jawab is ka doo

haye sughra bata kya likhun

aur sughra bata kya likhun

mai to pardes may lut gaya

apne lashkar ko mai ro chuka

tera baba ghareeb hogaya

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

aandhiya mera ghar legayi

mere lakht e jigar legayi

mera noor e nazar legayi

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

khat tera ab sunaun kise

kaun meri sada par uthe

shab ko jaage huve sogaye

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

haye sughra wo bhai tera

jisne tujhse tha wada kiya

kha gayi usko karbobala

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

pyar tune tha jisko likha

ghutniyo bhi jo na chal saka

haa wo asghar bhi ab na raha

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

shab ko dulha banaya jise

raas aayi na mehendi jise

royi sehre ki ladiyan jise

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

ab sakina ka hafiz khuda

waqt zainab pe bhi hai kada

mujhko ghere huve hai qaza

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

ye to accha huva laadli

apne ghar may hi tu rehgayi

beridayi se tu bachgayi

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

khat wo rehaan o sarwar tha kya

khaak se mera maula utha

laash e akbar pe khat rakhdiya

aur iske siva kya likhun

haye sughra bata….

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *