Yad E Abbas | Irfan Haider | Noha

Abbas Alamdaar…(6)
 
Yaad e Abbas
Barsare mulke shaam jab aayi rodiye Saadaat
Ghum ki rudad hai ye… (2)
Mazhar o Irfan e aza
Pehli majlis jo hui shaam ke ek gharme bapa
 
Haye…
Marsiya saare aseeron ne padha wawaila
Pehli majlis ki bani zakera Binte Zehra
Bad az hamde Khuda
Yu huwi mehwe buqa
Ek hi roz me maqtal me mera ghar ujda
Rukhsate Hussain ki Qasam
Mai shaam nahi aati
Chadar bhi nahi chinti
Hum qaidi nahi hote
Abbas agar hote…  (3)
 
Haye…
Bibiyo kaise batau wo tumhe ranj-o-alam
Do moharram ko sare dashte bala aae the hum
Band haftum se hue aab-o-giza hae sitam
Phir qayamat ye huwi
Hogae qatl sabhi
Gunj uthi dashte bayaban me Halmin ki sada
Rukhsate Hussain ki qasam
Lashe the sabhi besar
Akbar ko sada dekar
Shabbir nahi rote
Abbas agar hote…  (3)
 
Haye…
Jaake ek ret ke tile pe ye dekha manzar
Khushk bhai ka gala kund laeen ka khanjar
Tera zarbon se kiya mere akhi ko besar
Phir sitam aur badhe
Laashe pamaal hue
Chaagaya shame gariban ka andhera ban me
Rukhsate Hussain ki qasam
Baithi thi jaha pyaasi
Aulaad Payambar ki
Wo Khaime nahi jalte
Abbas agar hote…  (3)
 
Haye…
Algaraz 11 gyarah moharram ki saher aa pohchi
Ek rassi me hui aale Payambar qaidi
Mere Sajjad ko zanjeer bhi pehnai gai
Be khate rote huwe
Janibe shaam chale
Hogaya tukde jigar dekha jo Bazare jafa
Rukhsate Hussain ki qasam
Ye dard nahi milte
Maoon se juda unke
Atfaal nahi hote
Abbas agar hote…  (3)
 
Haye…
Bibiyaan nako pe naizo pe shahido ke sar
Char janib the tamashaai haram nohagaar
Aag barsai kisine to kisine patthar
Ab suno aage safar
Aagaya shireen ka ghar
Pucha shireen ne ye mujhse ke kaha hai chadar
Rukhsate Hussain ki qasam
Maine ye kiya noha
Humlog rasan basta
Aise na safar karte
Abbas agar hote…  (3)
 
Haye…
Ek din khaak pe baithe the asire zindaan
Aurate mashale thame hue kuch aayi waha
Hind bhi saath thi unsab ke basad aaho fuga
Usne pehchana mujhe
Ashq ankhon se gire
Pucha jab hind ne ahwaal to maine ye kaha
Rukhsate Hussain ki qasam
Mai shaam nahi aati
Chadar bhi nahi chinti
Hum qaid nahi hote
Abbas agar hote…  (3)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *