Ghazi Ki Sana | Mola Abbas Manqabat | 4 Shaban Manqabat | Ghazi Abbas | Mir Hasan Mir Manqabat 2020

 

●Abbas Abbas

●Sarwar Kay Alamdar
●Zainab Kay Wafadar
●Ya Sani e Karar
●Sardaro’n Kay Sardar

●Suno Shabbir Say Ghazi Ki Sana

●Woh Batayaingain Hamain Kiya Hai Wial e Abbas (as)
Ao Shabbir Say Suntay Hai Sana e Abbas (as)

●Suno Shabbir Say Ghazi Ki Sana

●Surah e Qadr Kay Parday Main Pala Hai Abbas
Surah e Hamd Ki Godi Main Raha Hai Abbas
Ale Imran Kay Angaan Main Chala Hai Abbas
Dil e Yaseen Darakhnay Ki Sada Hai Abbas
Bay Kay Nuktay Say Jo Wan Nas Talak Jayega
Saray Quran Main Abbas Nazar Ayega

●Jis Ko Andhi Kahai Tufaa’n Woh Mera Ghazi Hai
Jis Kay Khadim Hai Suleman Woh Mera Ghazi Hai
Mout Hai Jis Say Pareshan Woh Mera Ghazi Hai
Jis Main Shabbir Ki Hai Jaan Woh Mera Ghazi Hai
Is Ki Azmat Ki To Zainab Nay Qasam Khai Hai
Fatima Zehra Ka Beta Hai Mera Bhai Hai

●Apne Pehlu Main Hamesha Say Bhithaya Maine
Mujhko Zehra Isay Jhula Jhulaya Maine
Farz Nana Ki Tarah Apna Nibhaya Maine
Isko Khandho Pay Kai Baar Bhithaya Maine
Sab Yeh Kehtay Hain Sama Khub Bana Rakha Hai
Daikh lo Chand Nay Suraj Ko Utha Rakha Hai

●Apnay Mabood Ki Masoom Gawahi Abbas
Chalti Phirti Huwi Shamsheer Ilahi Abbas
Dushman e Ale Muhammad Ki Tabahi Abbas
Lashkar e Fatima Zahra Ka Sipahi Abbas
Kufr Ko Ishq Ka Kaaba Nahi Dhanay Daiga
Yeh Wilayat Pay Koi Anch Na Anay Daiga

●Iski Har Ek Siffat Hai Mairay Baba Jaisi
Woh Sakhi Yeh Bhi Sakhi Woh Bhi Wali Yeh Bhi Wali
Faq Allah Nay Hum Dono Main Rakha Hai Yahi
Main Muhammad Ka Muhammad Yeh Ali Ka Hai Ali
Karbala Main Shab e Hijrat Ka Jo Manzar Hota
Mairay Bister Pay Bhi Abbas Dilawar Sota

●Mas ala Is Kay Liye Sirf Mairi Cha Ka Hai
Foug Ki Fikr Na Khatra Isay Janga Ka Hai
Ghat Par Pehra Agr Lashkar e Rubaha Ka Hai
Zoor Ghazi Ki Kalahi Main Yadullah Ka Hai
Sirf Naizay Say AGR Hath Milalai Abbas
Nahr Ka Kiya Cheez Hai Suraj Ko Utha Lai Abbas

●Kitnay Lakho Ka Hai Yeh Lashkar e Shar Kiya Matlab
Samnay Sher Kay Yeh Teer o Tabar Kiya Matlab
Ainul ul Laha Ki Ankho Main Ho Dar Kiya Matlab
Is Kay Hotay Huwai Khaimo Pay Nazar Kiya Matlab
Khelta Aya Hai Gehwaray Main Yeh Teer Kay Sath
Bachpana Kata Hai Abbas Nay Shamsheer Kay Sath

●Dast e Zahra Ka Tarasha Huwa Almas Hai Yeh
Khandan e Bani Hashim Kay Liye Aas Hai Yeh
Karbala Jis Pay Ho Tehreer Woh Kirtas Hai Yeh
Sher Jis Sher Say Darta Woh Abbas Hai Yeh
Jab Mera Sher e Jawab Ran Main Bhipar Jata Hai
Zindagi Kiya Mala qul Mout Bhi Dar Jata Hia

●Milti Julti Mairay Baba Say Hai Surat Is Ki
Hai Dil e Sani e Zahra Pay Hukumat Is Ki
Poch Lo Malik e Ashter Say Shujaat Is Ki
Ek Jumlay Main Sunao Main Fazilat Is Ki
Mawara e Samajh o Sojh Dilo Aql Hai Yeh
Kiya Fazail Hi Bhala Khud Hi Abal Fazl Hai Yeh

●Kardai Khamosh Sitam Garo Ki Sari Bar Bar
Taig Bijli Ki Tarah Chamkay Jo Is Ki Tar Tar
Sar Gir e Khak Pay olo’n Ki Tarah Say Tar Tar
Mout Dozakh Ki Tarah Hanp Dai Sara Rewar
Mehr Talak Sham Kay Lashkar Kay Gira Dai Lashay
Na Ho Chalnay Ki Jagah Itnay Bicha Dai Lashay

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *