Haye sughra.. haye sughra..(3)
falak par chaand nazar aaya moharram ka
be saakhta aankho’n ne meri khoon bahaya
logo ne mujhe rote hue dekhke pucha
shehzadi zara ye to bata ghum hai ye kaisa
kyu farshe azaa aapne ghar mein hai bichaya
sughra…
sughra ne kaha ehle madina
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
1. Nana ke madine mein udaasi ka hai matam
hum shakle nabi hai na shehenshah e do aalam
wehshat si barasti hai daro baam se har dam..(2)
baba ..
jis din se gaye hai mere baba
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
2. Jis din se gaye hai mere baba mere ghar se
ek lamha nahi aisa ke aasu nahi barse
dil mera sakina ko mulaqaat ko tarse..(2)
duniya..
is ghum ko samjhti nahi duniya
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
3. Is ghum ko samajhti nahi duniya mere nana
sughra pe qayamat hai padar ka chale jaana
dil kehta hai is ghar ko musibat se bachana..(2)
Allah..
tu dekh raha hai mere Allah
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
4. Tu dekh raha hai mere Allah udasi
Ahmed ka nawasa hai na Ahmed ki nawasi
ummat ki nigaho mein nahi sharm zara si..(2)
kaaba..
is ghum mein siyah posh hai kaaba
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
5. Is ghum mein siyah posh hai kaaba bhi haram bhi
kulsoom bhi, zainab bhi, shehenshah e umam bhi
akbar bhi, chacha jaan bhi, aur unka alam bhi..(2)
sughra..
ye dard bataye kise sughra
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
6. Ye dard bataye kise sughra ke hua kya
ghar qabr sa lagta hai na akbar hai na baba
is qabr mein hai fatema sughra ka janaza..(2)
sadmaa…
sughra ko rulata hai ye sadma…
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
7. Sughra ko rulata hai ye sadma ali akbar
gharwalo ki furqat mein guzar jayegi khwahar
dekhu koi gehwara to yaad aate hai asghar..(2)
ab to…
daaman mein mere reh gaya ab kya
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
8. Daaman mein mere reh gaya ab kya mere nana
mazhar yehi faryaad kiya karti thi sughra
tum chaho jo beemar ke zakhmo ka madawa..(2)
nauha…
irfan suna do yehi nauha
ghar zehra ka veeran hua hai
aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2)
Hasan hussain imam hussain haaye husaina
haaye husaina, haaye husaina
Hasan hussain imam hussain haaye husaina
Comment