Qatal E Shabir | Ali Hamza | Muharram | Noha | 2020 | 1442

 

Qatal E Shabir Hua

Hussain Hussain Hussain Hussain

Qatal E Shabir Hua

Kya Tamasha Hua Islam Ki Taqdeer Ky Sath
Qatal E Shabir Hua Nara E Takbeer Ky Sath

Qari O Hafizon Ny Purzy Kiye Quran Ky
Kalma Parhty Huye Munkir Hain Sabhi Yazdan Ky
Hussain Mujh Sy Hai Aur Main Hussain Hi Sy Hun
Pas Rakhty Na Muhammad Ky Kisi Farmaan Ky
Ban Mein Hai Zulm Kiya Sahib E Toqeer Ky Sath
Qatal E Shabir Hua Nara K Takbeer Ky Sath

Waris E Kosar O Zam Zam Rahy Pyasy Ban Mein
Aya Wapis Nahi Larhny Jo Gya Hai Ran Mein
Udoo Ky Dill Mein Hai Fitna Wohi Saqeefa Ka
Is Liye Khoye Huye Thy Woh Daolat O Dhan Mein
Mara Chay Maah Ky Masoom Ko Hai Teer Ky Sath
Qatal E Shabir Hua Nara E Takbeer Ky Sath

Lashkar E Deen Py Hai Jazba E Shahadat Tari
Muntazir Sab Hain Keh Kab Larhny Ki Aye Bari
Ghairy Mein Dushmanon Ky Zeenat E Kalma Tanha
Huye No Lakh Py Haq Waly Bahattar Bhaari
Haar Batil Ko Di Hai Sabr Ki Takbeer Ky Sath
Qatal E Shabir Hua Nara E Takbeer Ky Sath

La Ilaha Parh Ky Hain Qanoon E Mashiyat Torhy
Bey Kafan Lashon Py Ummat Ny Dorhaye Ghorhay
Dasht Mein Peer O Jawan Aur Na Chorhy Bachy
Dekha Manzar Jo Yeh Nabiyon Ny Bhi Hain Munh Morhy
Pehny Abid Hain Rasan Zainab E Dilgeer Ky Sath
Qatal E Shabbir Hua Nara E Takbeer Ky Sath

Khayam Loot’ty Zalim Nahi Thy Ghabraty
Thy Naam Bibiyon Ky Baar Baar Dohraty
Zulam Ki Karbala Mein Inteha Hui Shahid
Utha Ky Naizy Py Phirty Thy Koofi Lehraty
Hua Sulook Hai Yeh Chadar E Tatheer Ky Sath
Qatl E Shabbir Hua Nahra E Takbeer Ky Sath

Kya Tamasha Hua Islam Ki Taqdeer Ky Sath
Qatal E Shabir Hua Nara E Takbeer Ky Sath

 

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *