Jawan Ali Akbar | Ali Shanawar | 2022 | 1444

Jawan Ali Akbar(a.s)”

Ali Ali Ali Ali Akbaram

(Rahat e Jaan

Vird e Zaban

Sa’at e Azan

Jaan Ali Akbaram) x2

Jaan Ali Akbaram

(Jawan Ali Akbar

Naujawan Ali Akbar) x2

Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Naujawan Ali Akbar x3

Aye Dil o Jaan e Pidar, Shakl e Payambar Akbar

Aye Qarar e Dile Zainab, Gule Madar Akbar

Misle Abbas e Jari Shere Dilaawar Akbar

Yusuf e Fatima Zahra , Dile Haider Akbar

Husn e Zaman Akbar, Aye Nauz e Chaman Akbar x2

Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2

Najawan Ali Akbar x3

Maula Shabbir Ne Maanga Hai Duaon Me Tumhe

Ghazi Abbas Ne Rakha Hai Panaahon Me Tumhe

Mil ke do maaoñ ne pala hai ridaon me tumhe

Rabbe Akbar ne rakha noori hijaabon me tumhe

Nauz e Dil e Sarwar Aye Shabeeh e Paighambar x2

Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2

Rahat e Jaan

Vird e Zaban

Sa’at e Azan

Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Boleeñ Laila Ke Gale Mujhko Lagate Jao

Boleeñ Zainab Mujhe Surat To Dikhate Jao

Bole Shabbir Meri Aas Bandhate Jao

Mujhko Nana Ki Ziyarat To Karate Jao

Haye Lahu mein tar Ham Surat e Paighambar x2

Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Naujawan Ali Akbar x3

Kaise Maqtal Tumhe Jaane Ki Ijazat De Doon

Kaise Khaime Se Nikalne Ijazat De Doon

Kaise Is Pyaas Me Ladne Ki Ijazat De Doon

Maa Hoon Kaise Tumhe Marne Ki Ijazat De Doon

Jaun Dil e Madar Ye Maa Ho Fida Tum par x2

Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2

Rahat e Jaan

Vird e Zabaan

Sa’at e Azaan

Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Haay…Khake Seene Pe Sina zeen Se Akbar Jo Gira

Ho Gaya Khaimo Me Kohram Bapa Wa-Waila

Ye Sada Dasht Me Deta Tha Ghareeb e Zahra(s.a)

Haye Akbar Mera Akbar Mera Akbar Na Raha

Noore Nazar Akbar Aye Nouze Pidar Akbar x2

Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2

Naujawan Ali Akbar x3

Rahat e Jaan

Vird e Zaban

Sa’at e Azan

Jaan Ali Akbaram

Jaan Ali Akbaram x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *