Ya Wajihaan Indallah – Nadeem Sarwar (2000) Old Noha

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Bar E Ilaha Ban Ky Sawali Tery Huzoor

Daman Mein Apny Laye Hain Bey Inteha Qusoor

Lekin Hamary Seenon Py Matam Ka Dekh Noor

Apny Nabi Ky Sadqy Mein Bakhshy Ga Tu Zuroor

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Maula Ali Ka Rabb E Jahan Tujh Ko Wasta

Ya Rab Baraye Fatima Siddeeqa Tahira

Dy Ilm Aur Rizq Ka Saghar Bhara Hua

Tooty Na Naimaton Ka Mery Ghar Sy Silsila

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Malik Tujhy Imam E Hasan Ka Hai Wasta

Jis Ky Lahoo Sy Karbobala Ki Hai Ibtida

Han Us Imam E Aman Ky Sadqy Mein Kibriya

Is Mulk Mein Ho Aman Ka Parcham Khula Hua

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Ab Wasta Hussain Alaihis Salam Ka

Parwardigar E Sabr Shah E Tishna Gaam Ka

Jis Ky Labon Py Wird Tha Tery Hi Naam Ka

Khanjar Taly Jo Qari Tha Tery Kalam Ka

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Yeh Rab Tu Meri Hasti Ko Aisa Sanwar Dy

Tu Apni Rehmaton Sy Mera Ghar Nikhar Dy

Sajjad Ka Tu Sadqa Ay Parwardigar Dy

Beemar Ko Shifa Dy Mukammal Qaraar Dy

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Maalik Imam E Baqar O Jafar Ka Wasta

Majlis Mein Main Hussain Ki Karta Hun Yeh Dua

Dono Ka Wasta Tujhy Deta Hun Ay Khuda

Maqrooz Jo Hain Ghaib Sy Kar Un Ka Qarz Ada

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Ya Rab Baraye Moosiye Kazim Ali Raza

Mashad Mein Aur Najaf Mein Jo Hain Qibla E Dua

Tu In Ky Wasty Sy Woh Aulad Kar Ata

Maan Baap Jis Sy Shad Hon Jin Ki Ho Yeh Sada

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Ya Rab Baraye Maula Naqi Taqwa E Taqi

Dy Jazba E Jahan Ba Sad Shan E Askari

Mehdi Ka Bhi Zuhoor Dikha Dy Isi Sadi

Tery Huzoor Meri Dua Hai Yeh Akhri

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Hum Teri Bargaah Mein Ay Rabb E Kirdigaar

Roye Hain Jo Dua E Tawassul Mein Zaar Zaar

Sun Ly Sadaye Sarwar O Rehan Aik Bar

Hum Ko Imam E Asr Ky Lashkar Mein Kar Shumar

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *