Sad Shukr Meray Mola,
Ke Dekh liya Roza Pohchey jo Karbala
hum choomi zameen e athar Seenay pe
haath aaya aur Ya Hussain lab par Jo Kefiyat
thi apni woh sab bayaan ho kyun kar Ankhon
se girrahay thay Khaak e shifa pe gohar Ashaab e bawafa ke
saanchey mein dhal rahay thay kaanton pe chalnay walay
makhmal pe chal rahay thay har ek qadam pe apni qismat
badal rahi thi apney bhi dil ke andar armaan machal rahay thay
Nazdeek se jo humney raahay nijaat dekhi raahay nijaat
par phir apni hayaat dekhi phir ussey aagay badhkar
nehre furaat dekhi chasme zadan mein humnay
kul kaenaat dekhi Phir uskay baad pohchay ham roza e jari par
dekha nahin tha aisa hum nay kbahi bhi manzar
ek saath ho rahi thi kham dar pe sakaRo sar
lagta tha Karbala mein jaise bapa hai mehshar Woh roub o woh
jalaalat jissay thay khaf taari Reh reh ke kar rahi thi sajda nazar
hamari dil muztarib pareshaan saanson mein aaho zaari
yeh zindagi ke kuch pal thay har sadi pe bhaari
Do janaton ke jis dam hum darmiyaan kharay thay
Qismat pe apni us dam hum rashk kar rahay thay
khuda apni hi sarapa hairat se dekh ti thi
parwaan char rahi thi jo dill mein wal walay thay
Chokhat ko shahe deen Ki chooma gale lagaya
Kuchh waqt dar pe thehre qadmo ko phir badhaya
Mat poochhiye K hamko kya kya khayal aaya
Ghuzre huye palo,n ne be saakhta rulaya
Jaali pe hath rakkha dil ko qarar aaya
Mazloom e karbala ko phir haal e dil sunaya
Aankhon ki putliyon ko mas karke jab uthaya
Aisa laga K jaise dil cheer kar dikhaya Pursa diya tadapkar
qasim se gulbadan ka Karbobala K ban me ujde huye chaman ka
Ansaar o aqreba ka mazloom be watan ka
Beton ka bhanjon ka Bhai ka aur bahan ka
Sad shukr meray Mola ke dekh liya roza Hussaina Hussaina
Karbala Dil ki jo kefiyat thi asif bayaan ho kaise
Toofan kitni utthe arman kitne machle Hashim
ye mukhtasar se bas hain safar K
kisse Dil chhod aaye apna roze pe shahe deen ke
Comment