Ali Shanawar | Maula Zawar Bana Dey | 2018 / 1440

(Hussaina Hussaina) x2
Ya Hussain, Ya Hussain

Ya Hussain, Shah-e-Karbala
Ap hain kareen Ba Khuda
Puri kijiyey Meri Dua
Is Baras keh Arbaeen main karoro’n Zaireen main
naam ho maira likha hua

(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2
Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de

Dil main meri, rooh main arman basa hai
Khuwabo’n khayalo’n main mere Karb o Bala hai
Ankhoun main Ansoun hain Laboun per yeh dua hai
Mere tarapne ki wajah tumko pata hai

Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de
(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2

Ankhain meri kassh ke dar ap ka dekhain
hath mairay Rozay k ijali ko jo thamain
lab ye mere ap ki choukhat ko jo Choomain
Log mujhay Ashiq-e- Shabbir Pukarain

Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de
(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2

Shanoun pe rakhay huyay Shal-e- Aza ko
ghar se main jis waqt chaloun Karb O Bala ko
Bazoo pe bandhoun ga main Taveez-e-Raza ko
Maa Meri seenay se lagaey gi dua ko

Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de
(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2

Karb O bala shehr-e Najaf se main bharhooun ga
Sardi ho garmi ho main paidal hi chaloun ga
raah main zawaroun ki kidmat main karoun ga
parcham-e-Abbas utha kar main rakhoun ga

Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de
(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2

(Bhoola Nahi) x2 App ke Akber ki Jawani
Yaad hai Asghar ki mujhay Tishna Dahani
Ban gaya zawar tou manat hay yeh mani
Naam-e-Sakina pe pilaaoun ga main pani

Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de
(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2

(Shah-e-Karbala, Ya Hussain, Ya Hussain)x2
Aey Shah-e Karb O bala, Mujhay Zawar bana
(Ya Hussain) x2
Ye tamanna hai meri, apna darbar dikha
(Ya Hussian) x2
Chal diya Ahl-e-Aza, Sar pe parcham hai khula
Sab ki Manzil hai Wohi Karbala Karb O Bala

Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de
(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2
Haan, Mujhay Apna Bana le, Aye Mere Moula Hussain
Mujhay Ik bar sada de, Aye Mere Moula Hussain
Mujhay Moulai Bana de, Aye Mere Moula Hussain
Meri Taqdeer Jaga De, Aye Mere Moula Hussain
Maoula Karbala bula le, Aye Mere Moula Hussain
(Moula Karbala Bula Le) x2

Mujhay ek baar sada day, meri qismat ko jaga de, apna darbar dikha de
(Ya Moula, Ya Moula, Moula Zawar Bana De) x2

(Moula Zawar Bana De) x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *