Nadeem Sarwar – Buss Ya Hussain (2008)

Ya Hussain Ya Hussain

Hussain

Hussain Ya Hussain

Ay Hurr Kisy Mili Yeh Shahadat Ki Zaib O Zain

Bali Py Tere Aai Hain Khud Madar E Hussain

Is Martaby Ky Bad To Sab Tujh Ko Mil Gaya

Ay Hurr Hussain Mil Gaye Rab Tujh Ko Mil Gaya

Kuch Nahi Mila Usy Tu Nahi Mila Jisy

Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya

Buss Ya Hussain

Yeh Bas Hussain Ki Ata Yeh Bas Hussain Ka Jigar

Jo Kar Diya Woh Motabar Jo Dy Diya To Sara Ghar

Karam Hussain Ka Karam Kisi Py Ho Gaya Agar

Mily Kisi Ko Bal O Par Kisi Ko Mil Gaya Pisar

Hurr Bana Diya Usy Jo Ek Bar Mil Gaya

Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya

Buss Ya Hussain

Adam Ki Poori Nasl Py Ehsan Kon Tha

Jis Par Khuda Ko Naaz Woh Insan Kon Tha

Kunby Ky Sath Deen Py Qurban Kon Tha

Nok E Sinan Py Qari E Quran Kon Tha

Ay Karbala Bata Tera Mehman Kon Tha

Bass Ya Hussain

Buss Hussain Ka Jisy Yeh Ikhtiar Mil Gaya

Yeh Ikhtiar Kitna Waseeh O Buland Hai

Sara Jahan Hussain Ki Muthi Mein Band Hai

Badla Hai Karbala Mein Taqaza E Inqelaab

Naizey Py Ab Jo Sar Hai Wohi Sar Buland Hai

Aiwan E Inbisaat Mein Jannat Na Kar Talash

Yeh To Gham E Hussain Ky Aansoo Mein Band Hai

Bass Ya Hussain

Dastan Hussain Ki Samajh Mein Aa Gai Agar

To Hurr Ki Rehguzaar Par Kary Ga Ishq Ka Safar

Tarhap Tarhap Uthy Ga Tu Kahy Ga Rat Rat Bhar

Hussain Buss Hussain Hai Sinan Py Ya Zameen Par

Shah E Karbala Sy Jis Ky Dill Ka Taar Mil Gaya

Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya

Ek Dopehr Mein Jis Ny Bhara Ghar Luta Diya

Nazaan Khuda Hai Jis Py Woh Sajda Ada Kiya

Apny Lahu Sy Khak Ko Khak E Shifa Kiya

Ashor Aik Roz Tha Sadion Py Chaa Gaya

Karbobala Ko Arsh E Mualla Bana Diya

Buss Ya Hussain

Salam Ya Hussain Rab Ka Aitbar Mil Gaya

Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Us Ko Mil Gaya

Jab Ran Mein Zulfiqar E Ali Nagahaan Chali

Bich Bich Gaiin Safon Py Safen Woh Jahan Chali

Chamki To Is Taraf Udhar Aai Wahan Chali

Deny Ko Dad Arsh Sy Pyasy Ki Maan Chali

Muddat Ka Taal Mail Tha Barson Ka Sath Tha

Jaisi Woh Zulfiqar Thi Wesa Hi Hath Tha

Kha Kha Gai Safon Ko Jidhar Ai Zulfiqar

Geh Chup Gai To Gaah Nazar Ai Zulfiqar

Sar Par Chamak Ky Taaban Qamar Aai Zulfiqar

Zee Kaat Kar Zameen Py Utar Ai Zulfiqar

Phir To Yeh Ghul Ai Ky Duhai Hussain Ki

Allah Ka Ghazab Hai Larhai Hussain Ki

Hussain Ya Hussain

Aai Nida E Ghaib Ky Shabbir Marhaba

Is Hath K Liye Thi Yeh Shamsheer Marhaba

Yeh Aabroo Yeh Jang Yeh Toqeer Marhaba

Bass Bass Hussain Bas Mere Dilgeer Marhaba

Waqt E Namaz E Asr Hai Takbeer Marhaba

Bass Ya Hussain

Bass Ya Hussain

Labbaik Keh Ky Taigh Rakhi Sheh Ny Nyam Mein

Palti Sipah Aai Qayamat Jahan Mein

Log Khanjaron Mein Taighon Mein Bharon Mein Ghir Gaye

Tanha Hussain Barchion Walon Mein Ghir Gaye

Hussain Ya Hussain

Rehan O Sarwar E Hazeen Suno Yeh Aisa Raz Hai

Hussain Keh Rahy Thy Buss Khuda Py Mujh Ko Naaz Hai

Na Bhai Na Pisar Raha Na Koi Chara Saaz Hai

Azan Hai Hussain Hai Khuda E Bey Nyaz Hai

Na Zeen Na Zameen Par Yeh Akhri Namaz Hai

Hussain Ya Hussain

Jis Ky Dill Mein Hussain Rehta Hai

Farsh Majlis Ka Jo Bichata Hai

Jo Bhi Noha Kahin Sunata Hai

Ly Ky Nam E Hussain Rota Hai

Us Ko Zehra Salam Karti Hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *