Nadeem Sarwar | Abbas Meer e Karwan | 2007

Karwan Karwan Karwan Karwan

Yasrab Sy Sooye Karbala Ek Karwan Rukhsat Hua

Sar Py Alam Saya Fighan Ghazi Ki Ati Hai Sada

Pehla Safar Zainab Ka Hai Sunsan Kar Do Rasta

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Kya Shan Hai Kya Dabdaba Kya Log Hain Quran Numa

Salle Alaa Salle Alaa Aayaat Ka Hai Qafila

Mashk O Alam In Ka Nishan Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Allah Ky Pyary Hain Yeh Aal E Nabi Sare Hain Yeh

Quran Ky Paarey Hain Yeh Konain Ky Taarey Hain Yeh

Zair E Qadam Hai Aasman Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Koi Shabeeh E Mustafa Koi Hasan Ka Dilruba

Hai Koi Aks E Sayeda Shabbir Ka Yeh Qafila

Thamy Alam Jo Hai Jawan Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Yasrab Sy Ta Ba Karbala Har Din Tawaf E Qafila

Abbas Karta Hi Raha Pardy Ka Zimedaar Tha

Yun Mutmain Thiin Bibian Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Abbas Woh Kirdaar Hai Bad E Ali Salaar Hai

Aisa Alam Bardaar Hai Maidan Mein Bey Talwar Hai

Phir Bhi Alam Ka Pasbaan Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Lo Aa Gaya Us Ka Alam Ghazi Jisy Kehty Hain Hum

Kehty Chalo Yeh Dam Badam Abbas Meer E Lashkaram

Babul Hawaij Mehrbaan Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Jab Sham Pahuncha Qafila Khutba Yeh Zainab Ny Diya

Sun Ly Yeh Qaom E Ashqiya Hum Hain Binaaye La Ilaa

Kashti Hai Deen Hum Badbaan Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Hashr Mein Maola Ali Yeh Sarwar O Rehan Bhi

Nazr E Karam Sy Ap Ki Rakhty Hain Ummed E Qawi

Nohon Sy Den Gy Yeh Bayan Abbas Meer E Karwan

Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *