Mir Hasan Mir | Logo Mere Hussain Ko Noha | 2016

 

Zuljanah zuljanah – 4
 
Logo mere hussain ko dekha hai tumne kya – 4
 
Aaker juloose me yahi -2
Kehta hai zuljanah
 
1. Aati hai uske khun ki khushbu jo baar baar
Mehsus ho raha hai yahi hai mera sawar
Aaya hai kya juloos me – 2
Mazlume karbala
 
2. saydaniya tadapti thi mehshar ki thi ghadi
Hai yaad mujko aakhri rukhsat hussain ki
Zaynab ne mujko saupa tha – 2
Beta batool ka
 
3. Dekha jo maine pyaase ki aankho me intezaar
Kadmo ko chum chum ke kehta tha baar baar
Sughra ke paas le chalu – 2
Gar hukm ho tera
 
4. Pyaase ka mera zeen pe sambhalna muhal tha
Haay barchi jigar me teer badan me ye haal tha
Utra tha ek nasheb me – 2
Zahra ka laadla
 
5. Muddat se hai tallash garibud dayar ki
Haay pehchaan ek ye bhi hai mere sawar ki
Chehre pe khun asghare – 2
Besheer hai mala
 
6. Zakhmo se bewatan ke baha khun is qadar
Meri jabee pa baal pe zeen per raqaab per
Mazlume karbala ka – 2
Lahu hai laga hua
 
7. Gardan hai uski yu bhi takallum juki hui
Apna sawar dhund raha hai ye aaj bhi
Bichda hai yu hussain se – 2
Ab tak nahi mila

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *