●Haye beti Ali ki
Reh gayi beti Ali ki gham uthane ke liye
Zakhm khane ke liye,ansu bahane ke liye
●Waris e tatheer be parda khari hai dasht mai
Aik chadar bhi nahi hai sar chupane ke liye
●Layi thi do phool apni godh mai umm e rabab
Aik maqtal ke liye ik qaid ke liye
●Dhundne nikle Hain aada pusht khaima ki taraf
Lash e be sheer naize per uthane ke liye
●Nok e naiza per utha ker shaam ke bazaar mai
shimer lehrata tha chadar dil dhukane ke liye
●Aate jate jis ko dekho,zulm kerta hai shadeed
Pusht e Abid reh gayi hai taziyane ke liye
●Baarha Zainab hai guzri shaam ke bazaar mai
syed e Sajjad ko zinda bachane ke liye
●Rote rote jarahi hai bachi suy e alqama
Neel ruksaron ke ghazi ko dhikane ke liye
●Gir ke Akber ne sada di jab tu Zainab ne kaha
Bhai mai bhi chal rahi hun laash uthane ke liye
●Mangne aya hai bachi ko kaneezi mai laeen
Ab to ajao mere ghazi bachane k liye
●Tartarha ker reh gayi qabr e Nabi yasir raza
Ayi jab rudad e gham zainab sunane ke liye
Comment