Nadeem Sarwar | Aey Musafir | 2015

 

Alwida, alwida, alwida.(4)

Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Alwida, alwida, alwida.(2)
Ae musafir.

Kaise pehchanu tera laasha bohot pamaal hai
Aah re anta akhi kya, hai tu hi bhaiyya mera
Mai musafir shaam ki hu,…

Kya tumhi bhai hasan ke, aur jaane zainabi
Ae gule baagh e mohammad, haal ye kya hogaya
Mai musafir shaam ki hu,…

Ae ghareeb e fatima, tu khuld ka sardaar hai
Ae tane uryaa’n tera to, aaj sab kuch lut gaya
Mai musafir shaam ki hu,…

Ghar me qatil ke teri, masnad bichane ke liye
Kal yahi masnad banadungi, teri farshe azaa
Mai musafir shaam ki hu,…

Baat kar mujh se baradar, kholde aankhein zara
Dekh to chehra behan ka, kis qadar murjha gaya
Mai musafir shaam ki hu,…

Ae behan waada nibhake, mai to maqtal se chala
Thi sadaa rehan o sarwar, haaye khwahar alwida
Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida

Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Alwida, alwida, alwida.(4)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *