Mir Hasan Mir | Khuda Hafiz Sakina Noha | 2019

 

Khuda Hafiz Sakina, Khuda Hafiz Sakina
 
Baba aa jaao, Baa aa jaao,
Ye beti jo tumhe pyaari
 
Aaj ki raat Sakina pe bohut bhaari he
Aable dukh te hein, hoti he chubhan khaaron ki
Barh-ti jaati he aziyyat mere rukhsaaro ki
Yehi haalat ba-khuda hoti he beemaron ko
Aysa lagta he ke marne ki ye tayyari he
 
Apni jaanib jo bulaati he ye zindaan ki zameen
Ye kahin aap se milne toh ishaara toh nahi
Jald aa jaaein na ho jaaye bas ab der kahin
Aap ke seene pe sone ki meri baari he
 
Itna saabir he mera bhai, ke har dukh seh-ke
Khoon ke aansu bahar-haal theher jaa te the
Haan magar manga gaya jabse kaneezi me mujhe
Bhai Sajjad ki aankhoN se lahoo jaari he
 
Shimr ke durron ne kar di he qamar meri nidhaal
Mere baalon ki safaydi se ayaan he mera haal
Ab mujhe dekh ke karte hein sabhi log sawaal
Zard chehra he kya is bachi ko bimaari he
 
Haaye, pyaar he beti se kitna ye bataana hoga
Saath me saare shaheedon ko bhi laana hoga
Pehla pursa mera lene tumhe aana hoga
Aaj zindaan me Sakina ki azaadari he
 
Soch-ti hun ke kafan kayse mera laayenge
Kis tarha laash ko bhayya meri dafnaayenge
Qaydi haathon se mujhe kayse utha paayenge
Kaysi ye maalik-o-mukhtar ki laachaari he
 
Khaak par tak ke jo bethi toh tamache khaayi
Haye, “Abbas” pukari toh, tamache khaayi
Aap ke naam pe royi toh, tamache khaayi
Meri rukhsaaron pe, tafseer likhi saari he
 
Baap ko beti sada de ke ye boli Akbar
Kar diye baazu nisar apne chacha ne mujh par
Uthe-ga unka alam mashk-e-Sakina le kar
Woh wafa unki thi, ye meri wafadaari he

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *