MESUM ABBAS | GHAZI KA SAR NOHA | 2018

 

Ye Kaun Log Hain Ye Qaafila Kahaan He Rawaan?
 
Haseen Chaand Se Chehre Hain Kuch Sina Pe Ayaan
 
Inhi Sarron Me Se Ek Sir Juda Juda Dekha
 
Faras Ke Saath Jo Gardan Me Hai Bandha Dekha
 
Haaye,
 
Gardan Me Rahwar Ki Ghaazi Ka Sir Bandha He (x2)
 
Naize Pe Sir Hussain Ka Kuch Yoon Bhi Ro Raha He, Ghaazi Ka Sar Bandha He
 
1) Naizon Pe Sab Ke Sir Hai Ghazi Ka Sir Kahaan He
 
Bechain He Sakina Aayi Labon Pe Jaan He
 
Ghush Kha Ke Gir Gayi Vo Zaalim Se Jab Suna He, Ghaazi Ka Sar Bandha He
 
2) Bepardagi Pe Nauha Aur Ghairaton Pe Matam
 
Sarwar Ke Sir Se Poocho Ye Bekasi Ka Alam
 
Zainab Ka Sir Khula Hai Abid Ka Sar Jhuka Hai, Ghaazi Ka Sar Bandha He
 
3) Kaise Bayaan Karoon Main Abbas Ke Safar Ko
 
Ghore Ke Gayso’oun Se Bandha Jari Ke Sar Ko
 
Rahwar Bhi Safar Main Rota Hua Chala He, Ghaazi Ka Sar Bandha He
 
4) Kya Haal Kardiya Hai Sadaat Ke Sarron Ka
 
Sar Ko Shahe Huda Ke Tandoor Me He Rakha
 
Akbar Ke Sar Ko Haaye Sandooq Me Rakha He, Ghaazi Ka Sar Bandha He
 
5) Saidaaniyo Ke Sar Jab Mohtaaj Hain Rida Ke
 
Sar Ghazi Bawafa Ka Naize Pe Kaise Tehere
 
Tehera Na Jo Sina Pe To Ye Sitam Hua He, Ghaazi Ka Sar Bandha He
 
6) Abbas Aur Sakina Qismat He Ek Jaisi
 
Naaqe Ki Pusht Per He Baandhi Gayi Bhateeji
 
Kamsin Ka Rasiyyon Me Jakra Hua Gala He, Ghaazi Ka Sar Bandha He
 
7)Salman aur Mesum Vo Bawafa Dilawar
 
Naize Pe Bhi Na Aaya Aaqa Ke Vo Barabar
 
Sultan e Karbala Ka Naize Pe Sar Chala He, Ghaazi Ka Sar Bandha He

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *