Imam e zamana ka nasir banade..(2)
khudaya mujhe, khudaya mujhe..(2)
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
shaheedane karbobala se mila de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
1. Khudaya mujhe ilm o hikmat ata ho
khudaya mujhe unki nusrat ata ho
khudaya mujhe bhi shahadat ata ho..(2)
lahu raahe haq me bahana sikha de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
2. meri maa ne saqqa banaya hai mujhko
tarika aza ka bataya hai mujhko
ghume sheh me rona sikhaya hai mujhko..(2)
meri maa ki mehnat ka itna sila de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
3. meri rozi halalat ki karke dikhau
mai bacho ko nusrat ki rahe batau
imame zamana ke qabil banau..(2)
jo rehbar ka rasta hai uspar chala de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
4. Zahoor unka hoga to maida sajega
namazi azadaar hi saath dega
imam e zamana ka lashkar banega..(2)
jo khwabo me hai bus wo manzar dikha de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
5. Dua hai musibat ko zainab ki samjhu
ke labbaik kehkar qadam me badhau
hifazat ko roze ki mai shaam jau..(2)
mai pohchu to zainab ki maa ye dua de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
6. Musalsal hai ankhe bighoti sakina
hai darr, siskiyo se hai roti sakina
zamee par hai zinda ke soti sakina..(2)
ke us qaid khane se usko chuda de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
7. Hai shabbir ab mere maula ye mahdi
na ab mere maula ho teero se zakhmi
na akbar ke seene pe lag jae barchi..(2)
ladu mai yazeedo se ye hausla de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
8. Saro par rahe meri behno ke chadar
bane jab imame zamana ka lashkar
to ho nasiro me qamar aur safdar..(2)
har ehle aza bas yehi ek dua de
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Imam e zamana ka nasir banade
khudaya mujhe, khudaya mujhe
Comment