● Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
●Uthay Hain Hath Khudaya Is Dua Kay Liye
Naseeb Ho Safar e Ishq Karbala Kay Liye
●Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
Phir Laut Kar Wahan Say Ana Naseeb Ho
●Ankhon Ko Jab Bhi Ashk Bahana Naseeb Ho
Aale Nabi Ke Gham Ka Bahana Naseeb Ho
●Aisa Dar e Hussain Pe Sajda Ho Akhri
Phir Mujhko Apna Sar Na Uhana Naseeb Ho
●Parvardigar Thokarein Dar Dar Ki Kab Talak
Ab Mutakil Najaf Main Thikana Naseeb Ho
●Jaisa Mila Naseeb Se Ummul Baneen ko
Ab Kya Kisi Ko Aisa Gharana Naseeb Ho
●Mehshar Ye Arzoo Hai Ke Be Ghuslo Be Kafan
Karbobala Ki Teh Me Samaana Naseeb Ho
●Ansoo Gire Thay Bali Sakina Kay Jis Jagah
Apna Wahan Pay Khoon Bahana Naseeb Ho
●Yeh Keh Kay Shah Nikle Mazar e Rasool Sy
Pardes Main Kafn Mujhy Nana Naseeb Ho
●Asghar Hai Mairay Hath Bandhay Kehti ThI Rubab
Kaise Tumhai Galay Say Lagana Naseeb Ho
●Mashkiza Lay Kay Roza e Abbas Kay Qareeb
Sab Zairo’n Ko Pani Pilana Naseeb Ho
●Ek Sar Burida Lashe Nay Bachi Ko Di Dua
Zindan Say Ko Laut Kay Ana Naseeb Ho
●Nazdeek Khaima Gah Sakina Ki Yaad Main
Sham e Ghareeban Shama Jalana Naseeb Ho
●Sajjad Sham Tak Yahi Karty Rahe Dua
Chadar Mujhy Phuphi Ko Urana Naseeb Ho
●Aey Kash Phir Say Mir Takallum Furaat Par
Mehdi Ko Sheh Ka Noha Sunana Naseeb Ho
Comment