Qaseeda_e_Meraj | Hafiz Tahir Qadri | Qaseeda | 2017

 

Subhanallah…..  Subhanallah…..

Sare laa maka se talab huee…
Suee muntaha wo chale nabi..
Koi had hai unke uroojj ki..
Balagal ula.. be kamali he….

Hai saf-arah sab hoor malak
Aur gilma khuld sajate hein
Ek dhoom hai arshe aazam par
Mehman khuda ke aate hein

Ya mustafa… Ya mujtaba…
Salleala mere aaqa………

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

Hai ajj falak raushan raushan…
Hai tare bhi jag-mag jag-mag…
Maheboob khuda ke aate hai…
Maheboob khuda ke aate hai…

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

 

Wo sarware kishware risalat…
Jo arsh par jalwagar hue the…
Naye nirale tarab ke sama..
Arab ke maheman ke liye the..

Waha falak par yaha zameen mein…
Rachi thi shadi machi thi dhoome…
Udhar se anwar-e-hast aate….
Idhar se nafhat uth rahe the…

Utar kar unke rukh ka sadka..
Wo noor ka bath raha bada…
Ke chand suraj machal machal kar..
Zammen ki khayrat mangte the..

Wohi to abtak jalak raha hai….
Wohi to joman tapak raha hai…
Nahan me jo gira tha paani…
Katore taaro ne bhar liye the…

Bacha jo talwo ka unke dhowan…
Bana wo jannat ka rango raugan..
Jinno ne dhula ki paee utran..
Wo phul gulzare noor ke thee…

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

Kurban hai shano azmat par..
Soee hai chain se bistar par..
Jibreel-e-amin haazir ho ka..
Meraj ka maujza sunate hai…

Jibreel burak saja kar ke..
Firdos-e-bari se leaae..
Barat firistoon ki aaee..
Meraj ko dhula jate hai..

Hai saf-arah sab hoor malak
Aur gilma khuld sajate hein
Ek dhoom hai arshe aazam par
Mehman khuda ke aate hein

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

Gubar ban kar nisar jaaun..
Kahan ab us rah-guzar ko paoon..
Hamare dil hooriyon ki aankhein..
Firishton ke path jahan lage the…

Bahar hai shadiyaan mubarak…
Chaman ko aabadiyan mubarak..
Malak falak apni apni lae mein..
Ye ghur-ana dil ka bolte the..

Khushi ke badal umat ke aaye…
Dilon ke taoos rang laye…
Wo nagma-e-naat ka sama tha..
Haram ko khud wajd aa rahe the..

 
Tabarakallah hai shan teri..

Tuji ko zaiba hai be niyazi
Kahin to wo joshe lan-tarani
Kahin takaze wisal ke the

Badhe muhammad karin ho ahmed
Qarib aa sarware mumajjad
Nisar jaun ye kya nida thi
Ye kya sama tha ye kya maze the

Hijab uthne mein lakhon parde…
Har ek parde mein lakhon jalwe..
Ajab gadi thi ke wasle furkat..
Janam ke bichhde gale mile the..

Wahi hai awwal wahi hai aakhir…
Wahi hai batin wahi hai zahir..
Usi ke jalwe usi se milne..
Usi se uski taraf gaye the

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

Aqsa mein sawari jab pahunchi…
Jibreel ne badh ke kahi takbeer…
Nabiyon ki imamat ab badh kar…
Sultane jahan farmate hein…

Wo kaisa hasin manzar hoga…
Jab dulha bana sarwar hoga….
Us shaq tasawwur kar kar ke…
Bas rote hi reh jate hein….

Hai saf-arah sab hoor malak…
Aur gilma khuld sajate hein….
Ek dhoom hai arshe aazam par…
Mehman khuda ke aate hein….

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

Namaze aqsa mein tha yahi sirr..
Ayan ho mana-e-awwal aakhir…
Ke dast basta hein pichhe hazir…
Jo Saltanat aage kar gaye the…

Nabi-e-rehmat shafi-e-ummat…
Raza pe lillah ho inayat…
Ise bhi in Khil ‘aton se hissa…
Jo khas rehmat ke waan bate the…

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

Ya Mustafa….. Ya Mujtaba…..
Salle Ala…. Mere Aaqa…..

Allah ki rehmat se dilbar…
Jaa pahunche dana ki manzil par..
Allah ka jalwa bhi dekha….
Deedar ki iazzat paate hein…

Me’raj ki shab to yaad rakkha…
Fir hashr mein kaise bhulenge…
Attar issi ummid pe ham…
Din apne guzare jate hein…

Hai saf-arah sab hoor malak…
Aur gilma khuld sajate hein…
Ek dhoom hai arshe aazam par…
Mehman khuda ke aate hein…

 

Mere mohammad pyare bane hai dula dula
Mere mohammad pyare… bane hai dula….

aqaa…..    aqaa…. aqaa…..

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *