Farhan Ali Waris | Noke Sina Per Nanna Sa Ek Sar | Noha | 2013

Haye Ali Asghar (a.s)…..2

Jab Shimr-e-laen (la) Shohda(as) Kay Sar Kaat Kay Laaya-

Shohda (as) Kay Saro’n Ko Pisar-e-sa’ad Nay Daikha-

Sar Asghar (a.s)-e-ma’asoom Ka Mojood Nahi’n Tha-

Yeh Kehtay Huway Shimr (la) Ko Paas Apnay Bulaya-

Hakim Mujhay Bakhshay Ga Nahi’n Tujh Ko Khabar Hai-

Ja Dhoond Sar-e-asghar (a.s) -e-ma’asoom Kidhar Hai-

Tareekh Mein Is Zulm Ka Milta Hai Hawala-

Zalim Nay Lahad Khod Kay Asghar (a.s) Ko Nikaala-

Sar Kaat Chuka Khoolii To Naiza Ko Sanbhala-

Naizay Peh Gaya Baano Ki Aaghosh Ka Paala-

Mot Bhi Noha Karti Thi Rokar-

Bigrha Hai Baano Tera Muqaddar…

Nok-e-sina’n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar…..2

Jo Saahib-e-aulad Hai Sochay To Zara Sa-

Kis Darja Sitam Kokh Jali Maa’n Peh Huwa Tha-

Ghash Khaai Huwi Maa’n Nay Jo’nhi Aankho’n Ko Khola-

Naizay Peh Sar-e-asghar (a.s) -e-ma’asoom Ko Daikha-

Thaamay Kaieja Boli Woh Muztar-saani-e-zehra(sa) Dekho Yeh Manzar….

Nok-e-sina’n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar…..2

Zainab (sa) Nay Soo-e-lashkar-e-a’ada Jo Nazar Ki-

Sar Peet Kay Yeh Kehnay Lagi Dard Ki Maari-

Aey Kushta-e-sham Sheer- E-jafa Aaey Meray Bhai-

Kia Ba’ad-e-shahadat Bhi Sitam Hota Hai Koi?-

Tu Hi Bata Aey Sabr Kay Paikar-kaisay Sanbhalay Dil Ko Yeh Madar….

Nok-e-sina’n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar…..2

Kiya Zulm Meray Bachay Peh Hai Daikh Khudaya-

Na Jhoolay Mein Paay Na Sukoo’n Qabr Mein Paaya-

Maa’n Roti Hai Yeh Keh Ke Kaha’n Doodh Barhhaaya-

Pani Kay Iwaz Teer-e-sitam Halq Peh Khaaya-

Piyasa Gaya Tha Duniya Say Asghar- Ab Yeh Sitam Hai Khaliq-e-akbar….

Nok-e-sina’n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar…..2

Phir Kehnay Lagi Maadar-e-akbar Say Lipat Kar-

Athhara Baras Jee To Gaya Tha Tera Dilbar-

Khoo’n Tujh Ko Rulati Hai Magar Furqat-e-akbar(as)-

Ab Soch Ke Kiya Beet Gai Hai Meray Dil Par-

God Se Jis Ko Lay Gaey Sarwar(as)- Dikh Rahi Hoo’n Aaj Yeh Manzar….

Nok-e-sina’n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar…..2

Shabbir (as) Nay Daikha Jo Sina’n Par Sar-e-asghar (as)-

Eik Baar Nigaahon Say Kiya Sajdah Zamee’n Par-

Phir Bolay Nigaho’n Ko Uthaey Huway Sarwar (as)-

Tu Raazi To Main Raazi Meray, Khaliq-e-akbar-

Wa’ada Nibhaaya Ghar Ko Luta Kar- Aab Yeh Sitam Bhi Sehta Hoo’n Dil Par….

Nok-e-sina’n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar…..2

“farhan” Lahoo Rotay Huway Likhta Hai “mazhar”-

Doraan-e-safar Ghazi Say Farmatay Thay Sarwar (as)-

Tu Hota To Yeh Zulm Nahin Hota Baradar-

Fariyaad Yeh Hai Daano-e-dilgeer Kay Lab Par-

Bazoo-e-shabbir(as) Daikh To Aakar- Halq Hai Zakhmi Khaak Hai Sar Par….

Nok-e-sina’n Par Nanha Sa Eik Sar Laykay Chala Hai Haaey Sitamgar…..2

Haye Ali Asghar (a.s),…. 2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *