Farhan Ali Waris | Mola Say Mera Nazo Ka Pala | 2015

 

Maula se mere naazon ka pala na uthega…x2
Lashe pe khade sochte the Sayyede wala…x2
Atthara baras maa ne muradon se tha pala…x2
Arrey
Khayme ki taraf dekha kabhi dil ko sambhala…x2
Dil thaam ke phal barchi ka sine se nikala..x2
Maula se mere naazon ka pala na uthega …x2
Zakhmi hain bohot gesu o wala na uthega….x3
Arrey
Maula se mere ….x2
Zakhmi hain…..x3
 
Ek baap ko taqdeer ne halat ye dikhayi…x2
Thi lashe jawan saamne hoton le duhayi….x2
Arrey
Patke se kamar tham ke mayyat jo uthayi…x2
Sar nange phuphi khayme se bahar nikal ayi…x2
Arrey
Maula se mere….x2
Zakhmi hain…x3
 
Maqtal me qayamat ki ghata cha gayi Akbar…..x2
Najane tujhe kiski nazar kha gayi Akbar….x2
Din byah ke aaye to ajal aa gayi Akbar….x2
Uth jao mere laal phuphi aa gayi Akbar ….x2
Arrey
Maula se mere….x2
Zakhmi hain….x3
 
Bano ka yeh armaan tha dulhan byah ke lati…x2
Haye
Is chand se chehre pe woh sehra bhi sajati..x2
Haye
Sughra tere in haathon me mehendi bhi rachati….x2
Khud karti har ek kaam na Bhabhi se karati…x2
Arrey
Maula se mere….x2
Zakhmi hain…..x3
 
Kya khoon mere laal ne shaadi hain rachayi ..x2
Ayi na dulhan byah ke mayyat teri ayi…x2
Haye
Ro ro ke yeh Zainab ne di baba ko duhayi….x2
Arrey
Shabbir ne khud in hathon pe yeh laash uthayi…x2
Arrey
Maula se mere….x2.
Zakhmi hain….x3
 
Sardaar azaadare e Hussain aaye hain purnam…x2
Jab tak bhi dhadakte huwe  sinon me rahe dam….x2
Barpa Ali Akbar ka karege yuhi matam…x2
Arrey
Uth jayege duniya se toh reh jayega yeh gam…x2
Arrey
Maula se mere….x2
Zakhmi hain…x3

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *