Mir Hasan Mir | Mai khaake karbala hu Noha | 2014

 

Karbala…..8
Main Khaak-E-Karbala Hu, Rutbaa Mera Juda Hai…..3
 
BINTE ALI (SA) Ne Mujhko Chadar Bana Liya Hai,
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2
 
Karte Hain Rashk Mujh Par Kausar Ke Bhi Kinaare,
ZAINAB (SA) Ke Sar Mein Maine Do Saal Hai Guzaare,
Mera Har Ek Zarra Har Zulm Ka Gawaah Hai,
 
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2
 
AKBAR (AS) Jawaan QASIM (AS) GHAZIi (AS) Se Chaand Taare,
Zainul Imaan Meri Aagosh Mein Utaare,
Yaani Lahoo Nabi Ka Mujh Mein Mila Hua Hai,
 
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2
 
Roti Hu Yaad Kar Ke Woh Bekasi Ka Manzar
MAULA (AS) Chhupa Rhe The Mujh Mein Woh Laashe ASGAR (AS)
Uss Din Se Aaj Tak Na Mujhko Sukoo’n Mila Hai
 
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2
 
Shohdaa-E-Karbala Ke Zakhmo’n Ko Maine Chooma,
ZEHRA (SA) Ki Betiyo’n Ke Kadmo Ko Maine Chooma,
Iss Waaste Hi Meri Taaseer Mein Shifa Hai,
 
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2
 
AKBAR (AS) Ki Laash Par Jab SHABBIR (AS) Jaa Rhe The,
Uthte The Baithte The Aur Ladhkhada Rhe The,
Manzar Woh Abh Bhi Meri Aankhon Mein Phir Rha Hai
 
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2
 
Aye Zaaereen-E-Maula Chalna Yahan Sambhal Kar,
Quraan FATEMA (SA) Ka Bikhra Hua Hai Mujhpar
Naa Jaane Kis Jagah Par Kiska Lahoo Gira Hai
 
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2
 
Tauqeer Tu Bhi Karle Aale Aba Ka Matam,
Jo Shaam Mein Gayi Thi Uss Berida Ka Matam,
Mamnoon Maatami Ki Makhdoom FATEMA (SA) Hai…..
 
Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai…..2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *