Aariz shams-o-qamar say bhi hain anwar ayerhiyan
Ar’sh ki aankhoon kay taaray hain wo khushtar ayerhiyan
Jabaja par to Fagan hain Aasman par ayerhiyan
Din ko hain Khurseed shab ko maah-o-akhtar ayerhiyan
Najam gardoon to nazar aatay hain chotay aur wo paaoun
Ar’sh phir kiyoon na hoon mahsoos lagar ayerhiyan
Dab kay zer pa na gunjayesh samanay ko rahi
Ban gaya jalwah kaf-e-pa ka ubhar kar ayerhiyan
Un ka mangta paaoun say thukra day wo dunya ka taaj
Jis ki khatir mar gay mun’am ragarh kar ayerhiyan
Do qamar do panja-e-khur do sitaray das hilaal
Un kay talway panjay naakhun paye athar ayerhiyan
Haye is pathar say is seena ki qismat phorhiye
Bay takalluf jis kay dil man yoon karain ghar ayerhiyan
Taaj rooh-ul-Qudus kay moti jisay sajdah karain
Rakhti hain wallah wo pakeezah go har ayerhiyan
Ayek thokar man uh’d ka zilzilah jata raha
Rakhti hain kitna waqar Allah Akbar ayerhiyan
Charkh par charhtay hi chandi man siyahi aagaye
Kar chuki hain badar ko takaal bahir ayerhiyan
Aye Raza toofan-e-mahshar kay talatum say na dar
Shaad ho hain kashti-e-ummat ko langar ayerhiyan
Comment