Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon | Muhammad Owais Raza Qadri | 2018

 

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hoon
Iss Karam Ki Badolat Badha Hoon
Unke Tukdon Se Ezaz Paa Kar
Tajdaro Ki Saf Mein Khada Hoon

Iss Karam Ko Magar Kya Kaho Gay
Maine Maana Mein Sab Se Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samaite Huwe Hain
Unke Qadmon Mein Bhi Pada Hoon

Dekhne Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kiske Daaman Se Waabasta Hoon Mein
Kon Waali Hai Kiska Gadaa Hoon

Dekhta Hoon Jab Unki Ataaein
Bhool Jata Hoon Apni Khataaein
Sir Nadaamat Say Uthta Nahi Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon

Ya Nabi Apne Gham Ki Kahaani
Keh Sakoonga Na Apni Zubaani
Bin Kahe Hi Meri Laaj Rakh Lo
Mein Sisakti Hui Ilteja Hoon

Shaaf E Mugnibaa Ke Karam Ne
Laaj Rakh Li Mere Khote Pan Ki
Nisbaton Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hote Huwe Bhi Khara Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Is Karam Ki Badaulat Badha Hoon
Unke Tukdon Se Ezaz Paa Kar
Tajdaro Ki Saf Mein Khada Hoon

(Sallallahu Alaihi Wasallam)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *