haaye sughra haaye haaye sughra
haaye sughra haaye haaye sughra
yasrab se shahe deen jo suwe karbala chale
ba hasrat o masaayeb o aah o buka chale
israar tha ye fatema sughra ka shah se
baba khudaara saath mujhe le ke jaayiye
sun kar fughaan ye fatema sughra se bole shah
beemaar hai tu sughra batlaade mujhe itna
le jaawun tujhe kaise
aasaan nahin beta raahon ki jafa sehna
le jaawun tujhe kaise
har gaam musibat hai raahon me aziyat hai
tu chal nahin paayegi kaanton pe musaafat hai
tu ghar ka ujaala ay sughra
tu surate zahra ay sughra
kar sabr ka yaara ay sughra
kar zabt khudara ay sughra
tu seh nahin paayegi hai sakht safar beta
le jaawun tujhe kaise
ham ko hai jahaan rukna pur hol hai wo sehra
kehte hain jise karbal ham ko hai wahaan lutna
har samt qaza hai ay sughra
na aab o ghaza hai ay sughra
karbal wo jaga hai ay sughra
bas zulm o jafa hai ay sughra
is gham se to behtar hai tu ghar me rahe tanha
le jaawun tujhe kaise
le god me asghar ko is nanne musaafir ko
jee bhar ke tu ay sughra tu dekhle akbar ko
ek mera gule tar ay sughra
ek shakle payambar ay sughra
de rukhsat mil kar ay sughra
taiyyaar hai dilbar ay sughra
ye qaaflah jaata hai ab jaanibe karbobala
le jaawun tujhe kaise
soyi ek din sughra aur khwab me ye dekha
lutta hai bhara kunba shabbir huwe tanha
kehte the tarap kar ay sughra
meri pyari dukhtar ay sughra
tu dekh ye manzar ay sughra
koyi nahin yaawar ay sughra
ab jaan liya tu ne main is liye kehta tha
le jaawun tujhe kaise
ghabra ke uthi muztar naani se kaha rokar
dekha hai abhi maine kehte the yehi sarwar
ab mere gale par ay sughra
chalne ko hai khanjar ay sughra
koyi nahin yaawar ay sughra
maare gaye dilbar ay sughra
ye soch ke hi maine bola tha tujhe beta
le jaawun tujhe kaise
shabbir ka jab kunba nana ke shahar pohncha
farhan aur safdar ye zainab ne kaha sughra
barbaad huwa ghar ay sughra
huwa qatl baraadar ay sughra
abbas aur akbar ay sughra
koyi nahin sar par ay sughra
is waaste bhaayi ne bola tha tujhe beta
le jaawun tujhe kaise
Comment