Aye shehre madina..(3)
jangal mein bhare ghar ko luta aayi hai zainab
Aye shehre madina…
Abid ko kisi tarha bacha layi hai zainab
Aye shehre madina…
jangal mein bhare ghar ko….
1. Na qasim o akbar rahe bhai bhi sidhare
sab hi gaye maare..(2)
begor unhe dasht mein chhod aayi hai zainab
Aye shehre madina…
2. Haye wo shaame ghareeba ho ya ho shaam ka bazaar
aabid rahe lachaar..(2)
sab zakhm isi qalb mein bhar laayi hai zainab
Aye shehre madina…
3. Kya kya na sitam raah mein sadaat ne jhela
mai tujhse kahu kya..(2)
baaghi ki bahan shaam mein kehlayi hai zainab
Aye shehre madina…
4. Parda jo sikhati rahi wo bibi khule sar
phirti rahi dar dar..(2)
bazaaro mein darbaaro mein ho aayi hai zainab
Aye shehre madina…
5. Aaja tu kanizi mein meri bola sitamgar
aye shaah ki dukhtar..(2)
ye lamha wahi tha jahan ghabrai hai zainab
Aye shehre madina…
6. Zindaa’n mein kahin kho gaya bhai ka nageena
masoom sakina..(2)
do baaliya zindaan se le aayi hai zainab
Aye shehre madina…
7. Zindaa’n se reha hoke bhi baaqi hai aseeri
maatam kare tu bhi..(2)
rassi ke nishaa’n isliye le aayi hai zainab
Aye shehre madina…
8. Ye zakhm mere qalb ka jeene nahi dega
hai zulm hi aisa..(2)
shabbir sare dasht hai ghar aayi hai zainab
Aye shehre madina…
9. Puchegi yehi fatima sughra abhi mujhse
akbar nahi aaye..(2)
dukhiya ke sawaalo se hi ghabrai hai zainab
Aye shehre madina…
jangal mein bhare ghar ko luta aayi hai zainab
Aye shehre madina…(3)
Comment