Ali Safdar | Karbala Aashiq-e-Zawwar | New Noha 2017-18. [HD]

Karbala ashiq e zawwar e hussain
Apne dil apne ankho mein le chala
haath seene pe, pao’n mein aable
karbala ki zamee’n tadapne lagi
ashiqo ke qadam choone ko badhi
hoke betaab zaero se kaha
kar diya tumne apna wada wafa
chaar su gunj rahi hai ye sadaa..
har azadar ki jaa hai karbala
Karbala, karbala..(4)
Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)

Badh rahe hai karwa’n dar karwa’n
janib e karbobala peer o jawa’n
karbala kya hai qibla e ashiqa’n
karbala hai ali akbar ki azaa’n
karbala zulm par hai zarb e gara’n
karbala shauk e shahadat ka baya’n
karbala jalwa e anwar e hussain

Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)

Is taraf khaimo se uthta hai dhua’n
us taraf baithi hui kuch bibiya’n
ek masooma kahi’n nauha kuna
jis ke rukh par hai tamacho ke nisha’n
ek beemar o zaeef o natawa’n
azm e shabbiri hai chehre se ayaa’n
hai yehi abid e ghum khwar e hussain

Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)

Tere daman mein aye dasht e nainawa
so rahe hai kaise kaise mehlaqa
khoo’n mein ghalta hai shabih e mustafa
aur wo qasim hai pamal e jafa
chhid gaya teer se nanha sa gala
haye asghar tere marne ki adaa
ye adaa hai akse paikar e hussain

Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)

Ye matam o nauha ye farsh e azaa
saniye zahra ki ye sab hai ataa
sar se chhini gaya hai jiski rida
jisne bete kiye bhai pe fida
jiska khutba sare darbar e jafa
kar gaya zulm ko ruswa ba khuda
zinda zainab se hai lalkare hussain

Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)

Aye zafar kaise masaeb ho rakam
jab hue bazu e abbas qalam
gir kar thanda hua ghazi ka alam
zakhmo se choor hai saqqa e haram
rakha phir bhi alamdari ka bharam
aaj lehrata hai sahil pe alam
shane haider hai alamdar e hussain

Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *