Mir Hasan Mir | Tu Agar Hota to Aisa Nahi Hota Ghazi Noha | 2019

 
Qabar-e-Abbas(AS) Pe Zainab(SA) Yeh Sada Deti Thi.
 
Kabhi Yasrab Tu Kabhi Soye Najaf Dekhte The.
Kabhi Tere Katay Shano Ki Taraf Dekhte The.
Sheh Ne Akbar(AS) Ke Kalejay Se Nikali Barchi.
 
Ho Gayi Sani-e-Zahra(SA) Bhi Zaeefa Abbas(AS).
Sans Leti Hoon Magar Main Nahi Zainda Abbas(AS).
Tere Tukron Ki Qasam Teri Behan Toot Gayi.
 
Pyas Main Bhi Tujhe Awaz Diye Jate The.
Zair-e-Khanjar Bhi Tera Naam Liye Jate The.
Gardan-e-Shah(AS) Pe Jab Shimar Chalata Tha Churi.
 
Mere Hathon Ko Bhi Rasi Se Gaya Tha Bandha.
Main Bhi Hathon Ka Na Le Payi Sahra Bhaiya.
Jaise Tu Zeen Se Gira Waise Main Naqay Se Giri.
 
Qaid Khana Bhi Ghareebi Pe Meri Rota Hai.
Lash Mastoor Uthaye Yeh Kahan Hota Hai.
Farz Beton Ka Nibha Aayi Ali(AS) Ki Beti.
 
Kaise Batlaon Woh Darbar Ka Manzar Bhaiya.
Khailta Tha Sar-e-Sarwar(AS) Se Sitamgar Bhaiya.
Marta Tha Mere Mazloom Ke Hontoon Pe Chari.
 
Qabar Mein Chain Se Masoom Ko Sone Na Diya.
Woh Sitam Dhaya Gaya Kanp Gayi Karb-o-Bala.
Lash Dhondhi Gayi Naizon Se Ali Asghar(AS) Ki.
 
Larkharate The Bohat Paon Tu Gir Jate The.
Ho Kahan Mere Jawaan Ro Ke Yeh Farmate The.
Lash Milti Na Thi Bhaiya Ko Ali Akbar(AS) Ki.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *