Akbar (as) Ka Lahu | Mir Hasan Mir & Mir Qasim Mir | Nohay 2023 | Muharram 2023/1445

Akbar Haye Akbar Haye Akbar

Akbar Haye Akbar

Akbar Haye Akbar Haye Akbar

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya
Dastaar Say Woh Maan Ki Rida Tak Pahunch Gaya

Askbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Aisay Giri Hai Khaimay Mein Akbar Ki Lash Par
Zainab Ka Khoon Khak E Shifa Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Laila Yeh Ro Ky Kehti Thi Akbar Kahan Ho Tum
Zaalim Ka Hath Meri Rida Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Awaz Rann Say Aai Keh Baba Main Gir Parha
Girta Hua Hussain Sadaa Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Seenay Mein Naiza Torh Kay Kehta Tha Yeh Laeen
Daikho Hussain Apni Qaza Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Maula Zaeef Ho Gaye Kuch Dair Mein Magar
Akbar Ka Lasha Aal E Abaa Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Jis Hath Nay Giraya Tha Humshakal E Mustafa
Naiza Liye Woh Hath Rida Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya
Dastaar Say Woh Maan Ki Rida Tak Pahunch Gaya

Akbar Ka Lahu Sheh Ki Abaa Tak Pahunch Gaya

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *