Sabeel e Imam Hussain (as) | Mir Hasan Mir Nohay 2023 | Muharram 2023/1445

Nehrein Rawaan Hain Faiz E Shah E Mashraain Ki
Pyaso Piyo Sabeel Hai Nazar E Hussain Ki

Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Haan Yehi Loag Hain Firdos Mein Jane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Sirf Shabeer Ka Dar Hai Jo Yeh Phailaye Hain Hath
Warna Yeh Loag Kahan Mang Ke Khane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Teri Rahoon Mein Bichaein Ge Farishte Aankhein
Farsh Mazloom Ki Majlis Ka Bichane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Farwa Deti Hain Duaein Sada Aabad Rahein
Ro Ke Mehndi Mere Qasim Ki Uthane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Hath Utha Kar Tujhe Dete Hain Dua Hur E Jari
Paon Shabeer Ke Zair Ke Dabane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Do Kate Hath Tujhe Girne Nahi Dein Ge Kabhi
Chote Hazrat Ka Alam Ghar Pe Lagane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Hai Yaqeen Khuld Mein Woh Jaein Ge Sab Se Pehle
Rasiyaan Thame Jaloson Ko Chalane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Ik Guzarish Hai Keh Abbas Keh Lashe Pe Na Ja
Chadar E Zahra Ko Naize Pe Uthane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Dar E Zindan Pe Bethi Hai Sakina Uth Ja
Shahzadi Tere Baba Nahi Aane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Shah Kehte The Keh Jao Ali Akbar Jao
Hum Nahi Lasha E Abbas Se Jane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Aakhri Waqt Bhi Aayi Nahi Saye Mein Rabab
Aise Dekhe Na Kahin Wadah Nibhane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Banne Kab Dete The Zindan Se Bahir Turbat
Neel Chehre Pe Sakina Ke Banane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Kya Ijazat Hai Takallum Bhi Tere Sath Chale
Qabar E Zahra Pe Diya Ja Ke Jalane Wale
Nam E Mola Pe Hain Pani Jo Pilane Wale

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *