Farhan Ali Waris | Kaisay Main Sham Jaongi Baba | 2023 | 1445

Bint E Ali Ka Hai Noha

Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Pas E Gardan Rasan Bandhi Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Maine Sooraj Na Umar Bhar Dekha Tha
Ab To Dekhungi Har Gali Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Baazo Chume Jo Tumne Ghazi Ke
Main To Us Din Hi Mar Gayi Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Athaara Baradar The Mere
Or Aaj Hoon Main Be Chadar
Main Sharm O Haya Ki Malka Hoon
Haste Hain Sitamgar Mujh Par
Darbar Main Kaise Jaongi Haye
Ye Soch Ke Main Rooti Hoon
Ae Kaash Mujhe Mout Aa Jaye
Karti Hoon Duain Ro Kar

Main Kaha Kufa Or Shaam Kaha
Kya Main Naazo Ki Na Pali Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Jaise Haq Apna Maan Ne Manga Tha
Waise Chadar Main Mangungi Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Ab Woh Bibi Chale Gi Kaanto Par
Jo Na Paidal Kabhi Chali Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Noha Zamin Yeh Karti Thi Bibi
Zakham Kitne Uthaongi Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Boli Bibi Ye Mazhar O Farhan
Dil Ki Zaamin Hoon Aaj Bhi Baba
Kaise Main Shaam Jaongi Baba

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *