Jeeway Miladi Jeeway | Hafiz Tahir Qadri | 2016

 

Jabse maine hosh sambhala  Tabse dekha hai
Jashn e nabi ke chahne valon ka ye naara hai
Marhaba Rasulallah  Marhaba Rasulallah

Duniya mai amena ka laal aya hai
Divanon barvih ka chand aya hai

Jeewe jeewe miladi jeewe

Milad e nabi hamne jazbe se manana hai
Rishta ye gulami ka aqa se nibhana hai
Marhaba Rasulallah  Marhaba Rasulallah

Mai chhod nahi sakta sarkar ki mehfil ko
Milad ki reli mai bachpan se hi aana hai
Jabse maine hosh sambhala

Jeewe jeewe miladi jeewe

Milad ke din jande jibreel bhi le aaye
Bid’at ise mat kehna ye jashn purana hai
Marhaba Rasulallah  Marhaba Rasulallah

Kyu firkon me bant te ho kis baat ka jagda hai
Gar ishk e muhammad hai milad manana hai
Jabse maine hosh sambhala

Jeewe jeewe miladi jeewe

Vo jabl e ohad jisne aqa se mohabbat ki
Insan nahi fir bhi jannat hi thikana hai

Jeewe jeewe miladi jeewe

Sarkar nizam apna layenge fakat esa
Is mulk mai aqa ka sikka hi chalana hai

Jeewe jeewe miladi jeewe

Jo ishk se vakif hai milad manate hai
Bas kaam hi munkir ka vavela machana hai
Jabse maine hosh sambhala

Ham talkhiyan bhulenge ham bhulenge maazi ko
Har ek se khule dil se ab hath milana hai

Jeewe jeewe miladi jeewe

Namus pe marne ki hasrat hai Ujagar ko
Is akhari khvahish pe jivan ko bitana hai
Jabse maine hosh sambhala

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *