Aaye Aaye Mere Sarkar Aaye
Mere Dildar Aaye Mere Ghamkhwar Aaye
Sadiyon se ho raha hai Ye Kaise Rukega
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Khushiyon ka Sama hai Masti mein Jahan hai
Milade Nabi par Har koi Fida hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Chahat hai Lagan hai Duniya hi Magan hai
Ghar Ghar Milad ho Sunni ka Mission hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Yun Sarware Aalam ka Milad Manaye’n
Aaqa ki Har Ada ko Zindagi mein Layein
Apne Nabi ki Sunnat Chehre pe bhi Sajayein
Ghairon ki Mahobbat ko Ab Dil se Nikalein
Khushiyon ka Sama hai Masti mein Jahan hai
Milade Nabi par Har koi Fida hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Gilma ne Jina ne bhi Jannat ko Sajaya tha
Jibreel ne Kaabe pe Jhande ko Lagaya tha
Har Dour mein Momin ne Milad Manaya tha
Islam mein Jari hai Tehwar bura na hai
Khushiyon ka Sama hai Masti mein Jahan hai
Milade Nabi par Har koi Fida hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Mozan ki Hadeeson mein Ye Qaule Sahaba hai
Khud Sarware Aalam ne Milad Manaya hai
Is Din ke Tashakkur mein Langar bhi Khilaya hai
Sunnat se Ye Sabit hai Duniya ko batana hai
Khushiyon ka Sama hai Masti mein Jahan hai
Milade Nabi par Har koi Fida hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Sarkar Aa gaye Dildar Aa gaye
Ghamkhwar Aa gaye Lajpal Aa gaye
Pyari Surat Hasta Chehra Munh se Jhadte Phool
Noor Sarapa Chand sa Chehra Haq ka Pyara Rasool Madani
Jabke Sarkar Tashrif lane lage
Hooro Gilma bhi Khushiyan Manane Lage
Har Taraf Noor ki Roshni Chha gayi
Mustafa Kya Mile Zindagi Mil gayi
Aye Haleema Teri God mein Aa gaye
Donon Aalam ke Rasool…
Khushiyon ka Sama hai Masti mein Jahan hai
Milade Nabi par Har koi Fida hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Ho Ghar mein Agar Shadi Daulat ko Lutana hai
Tu Ghar bhi Sajata hai Khana bhi Khilata hai
Milade Muhammad pe Kyun Shor Machata hai
Bas Jashne Wiladat hi Kyun Tera Nishana hai
Sadiyon se ho raha hai Ye Kaise Rukega
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Ahkame Shariyat se Miladi nahin hat’te
Milad ki Hurmat ko Pamal nahin karte
Jo Jashne Muhammad ki Be Hurmati karte hein
Tehzeebo Adab Inko Hamne Sikhana hai
Khushiyon ka Sama hai Masti mein Jahan hai
Milade Nabi par Har koi Fida hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Milade Muhammad hai Rehman bada Khush hai
Aayat batati hai Quran bada Khush hai
Momin ki Sada Aayi Imaan bada Khush hai
Shaitan ke Ilawa Khush Sara Zamana hai
Khushiyon ka Sama hai Masti mein Jahan hai
Milade Nabi par Har koi Fida hai
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Hamesha Hamesha Hamesha hi Saje ga
Sarkar ka Milad Hamesha hi Saje ga
Jo Jashne Muhammad pe Daulat ko Lutata hai
Aaqa ki Sakhawat se Wo Khuld mein Jata hai
Mehshar mein Huzur Aayein Aye Kash Ye Farmayein
Irfan Tumhara to Jannat hi thikana hai
Sarkar Aa gaye Dildar Aa gaye
Ghamkhwar Aa gaye Lajpal Aa gaye
Sarkar Aa gaye Dildar Aa gaye
Ghamkhwar Aa gaye Lajpal Aa gaye
Comment