Neza Sawar Bhai

 

Ya hussain..(6)
Ek shor hai bazaar mein,
Ya hussain, ya hussain, ya hussain
 
Guzra damishq se, jab kaarwaan e azaa
oonto’n pe thi bibiyaa’n, koofe ki shehzadiyaa’n
naizo’n pe the sab (shaheedo’n ke sar)..(2)
bhai pe pohchi behen ki nazar
kehne lagi wo behen nauhagar
mai dekhti rahi hun teri jung e karbala
hussain ya hussain
mai dekhti rahi hun teri jung e karbala
ab mera marhala..(2)
aankhei’n na band kar
 
Naiza sawaar bhai, aise quraan padh..(2)
koi na dekh paaye..(2), mujhko barahna sar
 
1. Barsaat pattharo’n ki, sar nange bibiyaa’n..(2)
itna kathan hai bhai..(2), saadat ka safar
 
2. Teri yaad mein hai roti, sakina bazaar mein..(2)
behlaye usko kaise..(2), jaaye behan kidhar
 
3. Chadar ki hai sawali, zahra ki betiyaa’n..(2)
hota nahi kisi par..(2), faryaad ka asar
 
4. Baalo’n se mu’n chhupau, ya khaak udhaau mai..(2)
laa de kahin se chadar..(2), ya ek kaam kar
 
5. Sab dekhte usi ko, hota agar yahaa’n..(2)
deta azaan aisi..(2), akbar mera pisar
 
Allahu akbar..(4)
 
6. Zehmat na tujhko deti, majboor hai behan..(2)
ae bhai har shaqi ki..(2), naa paak hai nazar
 
Naiza sawaar bhai, aise quraan padh..(2)
Aise quraan padh..(4)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *