Faslon Ko Takalluf Naat Lyrics

 

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar

Hum bhi be bas nahi be sahara nahi

Khood unhi ko pukarein gay hum door se

 Raste mein agar paon thak jayein gay

 Faslon ko takalluf hai hum se agar

Hum bhi be bas nahi be sahara nahi

 Khood unhi ko pukarein gay hum door se

 Raste mein agar paon thak jayein gay

Hum madine mein tanha nikal jayein gay

aur galyon mein qasdan bhatak jayein gay

Hum wahan jake wapis nahi aayein gay

 dhoondte dhoondte log thak jayein gay

 Jaise hi sabz gumbad nazar aaye ga

Bandagi ka qareenah badal jaye ga

Sar jhuka ne ki fursat mile gi kise

Khood hi palkon se sajde tapak jayein gay

Naam un ka jahan bhi lia jaye ga

Zikar un ka jahan bhi kia jaye ga

Noor hi noor sinon mein bhr jaye ga

 sari mehfil mein jalway lapak jayein gay

Aye madine ke zair khuda ke liye

Dastan e safar mujh ko yun mat suna

Baat barh jaye gi dil tarap jaye ga

 Mere mohtaat aansoo jhalak jayein gay

Un ki chashm e karam ko hai is ki khabar

 Kis musafir ko hai ketna shoq safar

Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili

 Hum bhi aaqa ke darbar tak jayein gay

Faslon ko takalluf hai hum se agar

Hum bhi be bas nahi be sahara nahi

Khood unhi ko pukarein gay hum door se

Raste mein agar paon thak jayein gay.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *