Qismat Main jo Nahi Hai | Ali Hamza | Manqabat | 2016

 

Gunahgaar ho kesa nijaat milti hai
Mere hussain ki allah se baat milti hai
Bata gaya hai ye rahib jahan ko is dar se
Nasib me jo na ho wo kheraat milti hai

Loh o kalam ke maalik
Zehra ke chain se
Kismat me jo nahi hai
Wo maango hussain se

1) Jis roz aaye duniya me wo fakhre qibriya
Fitras ko dardael ko di kisne di shifa
Poocho nabi se faatehe badr o hunain se
Kismat me jo nahi hai
Wo maango hussain se

2) Shabbir wo hai jiska makrooz hai khuda
Rahib ki tarha maanglo hai ye dar e sakha
Us naaz e ambiya se us deen ki zain se
Kismat me jo nahi hai
Wo maango hussain se

3) Deen e nabi ke sar se mushkil jo taal de
Raahe khuda me wo jo asghar sawaar de
Khoon e ali mohammed ke noor e ain
Kismat me jo nahi hai
Wo maango hussain se

4) kya hai basaat jag me khurshid ki bhala
Karte ata hain mujhko wo shah e karbala
Likhne ko roz milta hai unki nalain se
Kismat me jo nahi hai
Wo maango hussain se

Loh o kalam ke maalik
Zehra ke chain se
Kismat me jo nahi hai
Wo maango hussain se

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *