Fatima zahra, fatima zahra, zahraaaa….
Fatima zahra, fatima zahra..(4)
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
Aye meri bibi..(2)
tere darr pe isteghasa hai
tera mamnoon meri shehzaadi ye jahaa’n saara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
1. Tu hame hifz aur amaa’n dede
apni chadar ka sayebaa’n dede
teri qudrat mein kya nahi bibi
tu jise chahe, do jahaa’n dede
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
Ansuo ne dua maangi hai,
teri tasbeeh padhke dil ne tujhe pukara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
2. Qarz maqrooz ka adaa karde
mufliso ka naseeb waa karde
jinki godi hari nahi bibi
unko aulad tu ataa karde
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
bus tuhi muraad deti hai
teri chaukhat dare ilaahi ka iste’aara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
3. Farsh e majlis pe aur musalle par
har jawaa’n keh raha hai ro ro kar
hum rahe na rahe magar bibi
ta qayamat rahe ghum e sarwar
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
tere bachho ka ghum manate hai
apni aulaad se kai badhke ghum ye pyaara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
4. Un shaheedo ka ye muqaddar hai
sayebaa’n inka teri chadar hai
inke seeno pe aye meri bibi
daaghe matam nishan e haider hai
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
khuld mein shaheed jab jaaye
teri awaaz aaye, aane do ye hamara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
5. Khoon bankar rago mein hai nauha
meri naslo mein bhi rahe nauha
jaise maine padha hai bachpan se
mera naade ali padhe nauha
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
iske dil mein wilayat e haider
mere maa baap ki taharat ka ik ishara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
6. Tere dil par hai jo sitam toote
zindagi mein jo tune ghum dekhe
aasmano zamee’n pe gar hote
misle shab wo siyaah hojate
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
dekh kar teri museebat ko
saare aalam ka dil masaeb se paara paara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
7. Tujko ummat ne yu sataya hai, ya zahra
tujko ummat ne yu sataya hai
marge mohsin pe bhi rulaya hai
tujhko baba ke baad ummat ne
haaye darbaar mein bulaya hai
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
kitne sadme uthaye hai tune
jeeteji tujhko meri shehzadi ghum ne maara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
8. Hai yehi mazhar aabidi ki dua
tere bachho ka ghum rahe zinda
saath irfan ke rahe jaari
tere sadqe mein kaarwan e azaa
Ya zahra.. Ya zahra
Aye meri bibi..(2)
tere darr pe sar jhukate hai
har hussaini ka tere tukdo pe hi guzara hai
zahra….
Ya zahra.. Ya zahra… ..(2)
Warq e matam shod aalam e baala
meer e mann maula…
sarwar e zahra
aaha wa waila..(2)
Comment