Bekhud Kiye Dete Hai | Shahbaz Qamar Fareedi | New Naat Lyrics | 2015

 

Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana…
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!
 
Itna to karam karna ay chashme karimana…
Jab jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!
 
Ji chahta hai tohfe mein bhejun unhein ankhein…
Darshan  ka to darshan ho nazrane ka nazrana!!!
 
Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho betha…
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana!!!
 
Dunya mein hamein tumne jab apna banaya hai…
Mehshar mein bhi keh dena ye hai mera deewaana!!!
 
Kyun aankh milayi thi kyun aag lagai thi…
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!
 
Peene ko pee lunga bas arz zara si hai…
Ajmer ka saaqi ho bagdaad ka mekhaana!!!
 
Bedum meri qismat mein sajde hain usi dar ke…
Chuta hai na chute ga sang e dare janana
Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *