Qafelay ki paasban Zainab chali hai shaam,
Zainab chali hai shaam Rorahe hai bibiyan Zainab chali hai shaam,
Zainab chali hai shaam
1) Kya qayamat aagai hai waris e tatheer per,
Roraha hai aasma-n bhi Zainab e dilgeer per,
Kehrahe hai bediyan, Zainab chali hai shaam Zainab chali hai shaam
2) hokay rukhsat shaha se jab jaati hai bint e Ali,
Bekafan maqtal me lasha rotay hai sibte nabi,
Alveda ae Bhai jaa-n, zainab chali hai shaam zainab chali hai Shaban
3) hai ye sadaat e Ali saaya nahi shabbir ka,
Aur ghazi soraha hai Darya pe hamsheer ka,
Ab nahi hai saayeba-n zainab chali hai sham,
zainab chali hai sham
4) muh chupaye balo se ahleharam rotay rahay,
Majma e aghiyaar hai saray tamashai khaday
Be Rida hai kaarwa-n, Zainab chali hai shaam Zainab chali hai shaam
5) pyaas ke maray sakina ghamzada hai tashnalab,
Aur phupi Zainab ko dekha hogaya kaisa ghazab,
Lerahi hai hichkiya-n, Zainab chali hai shaam,
zainab chali hai sham
6) kehrahe hai bint e hyder shaam ke Hakim se ye,
Sar khulay leja nahi humko hujoom e aam se,
Hai Ali ki betiya-n, zainab chali hai sham,
zainab chali hai sham
7) baba hyder ki wasiyat zainab e dilgeer se,
Sabr karna hath thamay rehna Tum shabbir se,
Vird hoga har zubaa-n, zainab chali hai sham,
zainab chali hai sham
8) jab sitamgar ne bulaya sham k darbar me,
Nezoh par sar shohada ke kehtay hai bemaar se,
Lutgai maa jaiyaa-n, Zainab chali hai shaam ,
Zainab chali hai shaam
9) Nauha sunkar hashmi behno se Bibi Fatima,
Derahi tumko Dua saaya figan hai sayyada,
Kya likhu Akbar bayaa-n, zainab chali hai sham zainab chali hai shaam
Comment