Churwa Do Hamein Gham Say Yehi Waqt e Karam Hai | Mir Hasan Mir Manqabat | Munajat e Bibi Fatima

●Ya Fatima zehra,ya Fatima zehra

Churado hamain gham se yahi waqt e karam hai

Ya Fatima zehra tumhain bachon ki qasam hai

●Aulad ki nemat se hai mehroom jo maaeen

Be sheer ke jhule pe wo karti hain duain

Umeed karam aap ka hee bab e karam

hai Ya Fatima zehra tumhain bachon ki qasam hai

●Har ranj o bala dur rahe hai yahi faryad

Shabbir ke matam ke liye wo rahe aabad

Abbas Alamdar ka jis ghar pe alam

hai Ya Fatima zehra tumhain bachon ki qasam hai

●Rizwan o malaiq hain pale aap ke dar se

Kyun banda e momin bhala phir rizq ko tarse

Hatim ka nahi ye to dar e shah umam

hai Ya Fatima zehra tumhain bacho ki qasam hai

●Sajjad ke sadqe use azad kara dein

Sughra ke tasadduq use apno se mila dein

Momin jo koi qaid mai be jurm o sitam hai

Ya Fatima zehra tumhain bacho ki qasam hai

●Dena hai mujhe aap ko shabbir ka pursa

Bibi mujhe jaldi se bula lejieye Madina

Sansein yeh batati hain ke ab waqt bhi kam hai

Ya Fatima zehra tumhain bacho ki qasam hai

●Khusiyon ki talab aap se ki hai na karein ge

Hum ap ki marzi pe raza mand rahain ge

Darkar hamain aap se Shabbir ka gham hai

Ya Fatima zehra tumhain bachon ki qasam hai

●Hai meri dua aap se aye malika e jannat

Sar apna utha ker wo chale taba qayamat

Jis jis ko jabeen aap ki dehleez per kham hai

Ya Fatima zehra tumhain bachon ki qasam hai

●Aye kufuwa e Ali jald inhein kufu aata ker

Arse se hain bethi hui kuvh betiyan ghar per

Is baat ka maa baap ko har alam hai

Ya Fatima zehra tumhain bachon ki qasam hai

●Mehdi se lahad aap ki dekhi nahi jaati

Aap perda e ghaibat se inhein bhej do bibi

Yeh meri duaon mak dua sub se aham hai

Ya Fatima zehra tumhain bachon ki qasam hai

●Yeh kehre hain beemar ke minbar se dua do

Tum zakir e sarwar ho shifa hum ko dila do

Bibi tere hathon mai taqallum ka bharam hai

Ya Fatima zehra tumhain bacho ki qasam hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *