Allah (swt) Allah (swt)
Haiyya Ala Khairil Amal
Haiyya Ala Khairil Amal….2
Har Gustaakh-e-rasool (sww) Ko Duniya Say Hum Mitaae’ngay.,..
Har Gustaakh-e-aihl-e-bait (as) Ko Duniya Say Hum Mitaae’ngay….
Jo Ali (as) Ka Nahi’n Woh Nabi (saww) Ka Nahi’n…2
Jo Nabi (saww) Ka Nahi’n Woh Khuda (swt) Ka Nahi’n….2
Jo Khuda (swt) Ka Nahi’ Woh Kisi Ka Nahi’n….2
Hai Dil Mein Humaray Ishq-e-ali (as)….
Hai Dil Mein Humaray Ishq-e-nabi (saww)….
Har Dushman-e-aal-e-mohammad (as)….
Ailaan Humara Sunlay….2
Hum Ko Ma’aloom Hai Maqtal Say Guzarna Kiya Hai-
Rooh Zindah Hai To Phir Jism Ka Marna Kiya Hai-
Ba’ad Az Marg Humein Ishq Rakhega Zinda-
Karliya Ishq To Phir Maut Say Darna Kiya Hai-
Seeno’n Mein Shoq-e-shahadat Basa Kay-
Haatho’n Mein Ghazi(as) Ka Parcham Utha Kay-
Paigham Date Huway Karbala Kay-
Barhtay Rahei’n Zulmato’n Ko Mita Kay-
Zindagi Ko Waqf Karkay Hussain(as) Kay Naam-
Bas Aik Na’ara Ho Wird-e-zabn’n-
Barhhta Rahay Kaarwa’r, Jeo Hussaini Jawa’n….2
Hai Meer-e-kaarwa’n….
Fatah-e-lashkar Ya Ali (as), Ya Ali (as) Mola Ali (as)….2
Hal Min Nasirin Yan Surana-
Hum Noha Khuwa’n Aur Iraday Humaray-
Talwar Hai’n….
Aik Do Nahi’n Balkay Saaraykay Saaray-
Mukhtar Hain….
Nohay Kay Alfaz Daingay Gawahi-
Hum Hain Imam-e-zamaa’n (atfs) Kay Sipahi-
Jurrat Mein Meesum, Wilayat Kay Rhahi-
Thhokar Mcin Rakhtay Hain Hum Takht-e-shahi-
Kafi Hai Bas Syeda (sa) Ki Duaa Hi-
Mil Kay Bolei’n Saaray Momin Peer-o-jawa’n.,.
Dast-e-karam Ho Imam-e-zamaa’n (atfs)…,
Barhhta Rahay Kaarwa’n, Jeo Hussalnl Jawa’n….2
Hai Meer-e-kaarwa’n,…
Fatah-e-lashkar Ya Ali (as), Ya Ali (as) Mola Ali(as)….2
Laashay Uthaey, Uthatay Rahe’ngay-
Majlis Mein Jaatay Hain, Jaatay Rahe’ngay-
Toofa’n To Aatay Hain Aatay Rahe’ngay-
Hum Apni Himmat Barhhatay Rahe’ngay-
Ghar Lutay Ya Jaan Jaey Khuda Ki Qasam-
Daitay Rahe’ngay Yehi Hum Aza’n-
Barhhta Rahay Kaarwa’n, Jeo Hussaini Jawa’n….2
Hai Meer-e-kaarwa’n….
Fatah-e-lashkar Ya Ali(as), Ya Ali (as)mola Ali(as)….2
Haiyya Ala Khairil Amal-
Mola Imam Hussain (as) Farmatay Hain:
“agar Zindagi Ka Ikhtetaam Maut Par Hi Hai
To Us Ka Behtreen Intekhab Shahadat Hai”
Wirsah Hai Humara,shahadat
Shahadat,shahadat….
Kehtay Hain Jisay Hum, Sa’adat….
Sa’adat, Sa’adat….
Karam Hussain (as) Ka Mujh Par Mazeed Hojaaey-
Maroo’n To Lehed Mein Mola(as) Ki Deed Hojaaey-
Ajeeb Jazbah Hai-
Ajeeb Jazbah Hai Har Maa’n Duae’n Karti Hai
Khuda Karay Mera Bacha Shaheed Hojaey-
Aey Maa’n-
Khuch Khauf Nahi’n Ab Mujhay Izzat Mein Kami Ka-
Shajrah Hai Khuda Rakhay Hussaini(as) Hassani(as) Ka-
Likh Daina Kafan Par Meray Bas Tum “ali (as) Waris”-
Khud Qabr Samajh Jaeygi Banda Hoo’n Ali(a.s.) Ka-
Shaheed Zindah Hai…3
Shaheed Qabr Ki Janib Chala To Aisay Chala-
Dil Mein Haider(as) Ki Wila, Moo’nh Peh Malay Khaak-e- Shifa-
Sath Matam Kay Nisha’n Aur Shahadat Naama-
Jab Huwa Qabr Mein Dakhil To Yeh Manzar Dekha-
Misl-e-gufshan Kay Tar-o-taaza Nazar Aati Hai-
Qabr To Khuld Ka Darwaza Nazar Aati Hai-
Shaheed Zindah Hai…3
Di Nida Haatif-e-ghaibi Nay Ke Ab Ho Hoshiyaar-
Murtaza Qabr Mein Aatay Hain Basad Izz-o-wiqar-
Meri Turbat Mein Ajab Tarha Ki Aai Hai Bahaar-
Kia Hasee’n Mot Hai Is Mot Peh So Zeest Nisar-
Mera Mola Meri Turbat Mein Chala Aaya Hai,chala Aaya Hai-
Asl Mei’n Ab Mujhay Marnay Ka Maza Aaya Hai-
Shaheed Zindah Hai…3
Aey Aihl-e-jaha’n Socho To Zara-
Hai Fikr Ki Jaa, Ronay Ki Faza’a-
Jab Apna Koi Marjata Hai-
Karbal Ka Kafan Woh Pata Hai-
Aihbab-o-aziz Aur Dost Sabhi-
Ronay Kay Liyay Aajatay Hain-
Kis Shan Kay Apnay Piyaro’n Ki-
Maiyyat Ko Sabhi Dafnatay Hain-
Afsos Magar Zehra (sa) Ka Pisar-
Ya Hussain Ya Hussain…. 2
Afsos Magar Zehra Ka Pisar-
Kaiee Dino’n Tak Be Sar Tha-
Us Laashay Peh Sadqay Kon-o-maka’n-
Na Kafan Mila, Na Dafn Huwa-
Haaaaaeeeeey-
Had Huwa Karti Hai Har Zulm Kay Afsanay Ki-
Zulm Sehnay Ki, Sitam Sehnay Ki, Gham Khanay Ki-
Kalma Goyo Yehi Eik Baat Hai Rulwanay Ki-
Rasm Hai Saaray Musalmaano’n Mien Dafnanay Ki-
Par Mohammmad (saww) Kay Nawasay Ko Kafan Bhi Na Mila….5
Ronay Kay Liyay Kaafi Hai Aey “mazhar”-o-“farhan”-
Paaya Kafan Shaheedo’n Nay Aur Dafn Ka Saamaan-
Par Mohammmad (saww) Kay Nawasay Ko Kafan Bhi Na Mila….5
Hussain (as) Mola,hussain (as)mola
Hussain(as) Mola,hussain(as) Mola
Hussain (as)mola,hussain(as) Mola
Comment