Matam meri hayat tabarruq meri ghiza
Zinda mera wujood hai karbobala ke sath
Sadiyoñ se ab bhi jaari hai matam ka silsila
Zulm o jafa bujha na sake shamma e aza
Jalta hai ye charaagh hamesha hawa ke sath
Is matam e Hussain ke ghaazi haiñ saebaañ
Raushan alam se ho gaeñ tareeq bastiyañ
Ahl e aza azal se haiñ shaah e wafa ke sath
phir khauf e maut rehta hai unko bahal kahañ
jo zaereen jaate haiñ behre mashi wahañ
Dete haiñ rizq aaj bhi maula sakha ke sath
mashkeeza jese parcham e ghazi ke sath hai
Kaba khuda ka jese namazi ke sath hai
Bas yuhi zaereen haiñ khaak e shifa ke sath
hamko sitam shiyar bhala kya mitaenge
Bid’at ke fatwe ashko mein sab doob jaenge
Jeete haiñ hamto madar e sheh ki dua ke sath
Paani tawaaf karta h ghaazi ki qabr ka
Kaba h goya qabr, sujaat ka, sabr ka
Ye alqama ka rishta hai ab bhi wafa k saat
zikre e gham e Husaain ka aijaz delhiye
Kausar ko meri aankh pa hai naaz dekhiye
Chalki hui furat hai ashq e aza ke sath
har aik rang o nasl ke insan dosto
Sabke diloñ meiñ aik hai armaan dosto
Ghazi bula leñ sabko sahar ki hawa ke sath
Amir ko aur Toosi ko karbobala mili
Taskeen e dard ke liye khak e shifa mili
Gham bhi mila to hamko mila hai dawa ke sath
Comment