Unka Mangta Hoon Jo Mangta Nahin Hone Dete
Yeh Hawaley Mujhe Ruswa Nahi Hone Dete
Mere Har Aib Ki Karte Hain Woh Parda Poshi
Mere Jurmo Ka Tamasha Nahi Hone Dete
Apne Mangton Ki Fehrist Mein Rakhte Hain
Mujhe Mohtaaj Kisi Ka Nahi Hone Dete
Baat Karta Hon To Aati Hai Mehak Tayyebah Ki Mere Lehjey Ko Woh Mela Nahi Hone Dete
Hai Yeh Imaan Ke Ayen Ge Lahad Mein Meri
Apne Mangton Ko Woh Tanha Nahi Hone Dete
Mere Halaat Hi Aaqa Mere Dushman Thehrey
Mujh Ko Didar E Madina Nahi Hone Dete
Hukam Karte Hain To Mlitey Hain Yeh maqtey Shakir
Aap Nah Chahain To matla Nahi Hone Dete
Unka Mangta Hon Jo Mangta Nahi Hone Dete
Yeh Hawaley Mujhe Ruswa Nahi Hone Dete
Comment