Nadeem sarwar noha Aao Alam k Saye me Aao

Yeh Teri Duniya Yeh Duniya Dari
Insaniyat Hai Bechain Sari
Anjany Khadsy Yeh Be Qarari
Sab Kuch Hai Phir Bhi Sab Sy Bezari

Lekin Yeh Mano Koi Khuda Hai
Us Ka Waseela Kuch Keh Raha Hai
Jab Bhi Koi Gham Ka Ehsas Pao
Aao Alam Ke Saye Me Aao

Jab Bhi Koi Gham Ka Ehsas Pao
Aao Alam Ke Saye Me Aao

Duniya Yeh Teri Kya Tujh Ko Dy Gi
Kis Ko Diya Hai Jo Tujh Ko Dy Gi
Apni Muraden Ghazi Sy Pao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Tery Sahary Toot Gaye Kya
Apny Paraye Rooth Gaye Kya
Roothy Huon Ko Apny Manao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Jab Gham Rulaye Jab Dil Ho Bojhal
Teri Wafa Ka Na Dy Koi Phal
Kya Gham Hai Gham Ko Ab Bhool Jao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Saye Mein Mery Ab Bhi Hai Rehti
Meri Sakina Pyari Bhateeji
Jab Aao Bachon Ko Sath Lao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Khush Ho Gi Tum Sy Meri Sakina
Garmi Ka Jab Bhi Aaye Mahina
Pani Parindon Ko Bhi Pilao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Ay Mery Aaqa Ky Pursadaro
Ay Noha Khuwanon Matam Guzaaro
Jao Jahan Bhi Majlis Karao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Mery Alam Par Bibiyon Ana
Sar Ko Khudara Apny Chupana
Sab Ny Sataya Tum Na Satao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

8 Muharram Parcham Saja Kar
Bachon Ko Apny Saqqa Bana Kar
Nam E Sakina Pani Pilao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Beta Hun Main Bhi Mushkil Kusha Ka
Pyara Hun Main Bhi Haajat Rawa Ka
Thokar Lagy Jab Jab Chot Khao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Rehan O Sarwar Woh Din Bhi Aye
Ghazi Yeh Keh Kar Hum Ko Bulaye
Hum Hain Tumhary Tum Gham Na Khao
Aao Alam Ke Saye Mein Aao

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *